Kaam Aakhir Jazba E Beikhtiyar.

Kaam Aakhir Jazba E Beikhtiyar.
.
Type By......-*
*-.SA-Ki-JAN.-*
.
Kaam Aakhir Jazba E Beikhtiyar Aa Hi Gaya
Dil Kuch Is Sorat Say Tarpa Unko Pyar Aa Hi Gaya
Jab Nigahain Uth Gai ALLAH Ray Meraj-Shouq
Dekhta Kya Hon Wo Jan E Intizar Aa Hi Gaya
Haaye Ye Husn E Tasawwur Ka Fareeb E Rang O Boo
Maine Samjha Jaise Wo Jan E Bahar Aa Hi Gaya
Han Saza Dy Aaye Khuda E Ishq Aaye Tofeeq E Ghum
Phir Zaban E Bay Adab Par Zikr E Yar Aa Hi Gaya
Is Tarh Khush Hun Kisi K Wada E Farda Pay Main
Dar-Haqeqat Jaise Mujh Ko Aitbar Aa Hi Gaya
Haaye Kaafir Dil Ki Ye Kaafir Junon-Angeziyan
Tumko Pyar Aaye Na Aaye Mujhko Pyar Aa Hi Gaya
Dard Ny Karwt Hi Badli Thi Ki Dil Ki Aad Say
Dafa'tan Parda Utha Or Parda-Dar Aa Hi Gaya
Dil Ny Ik Nala Kia Aj Is Tarha Dewana-War
Baal Bikh'raye Koi
Mastana-War Aa Hi Gaya
Jan Hi Dy Di "Jiger" Ny Aj Paa E Yar Par
Umar Bhr Ki Beqarari Ko Qarar Aa Hi Gaya....'*'SA'*'
.
Poet:-

Jiger Moradabadi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga