Kahte Hai Ye Zaair Say Ewaan Madinay K,

Kahte Hai Ye Zaair
Say Ewaan Madinay
K,
Sultano K Sultan Hai
Sultan Madinay K
.
Tehzeeb Nirali Hai
Tehzeeb Madinay
Ki,
Insaan Anokhay
Hai Insan Madinay
K
.
Is Arz E Muqad'das
Par It'ra K Na Chal
Itna,
Adaab Aray Kuch To
Pahchaan Madinay
K
.
Ehraam Ziyarat Ka
Tu Bandh To Lay
Pahle,
Ho Jayain Gay Khud
Raste Asaan Madinay
K
.
Aa Jaon Kisi Sorat
Nisbat K Tasal'sul
Main,
Darban Hi Mujhe
Rakh Lain Darban
Madinay K
.
Ab Loat K Kya Jayain
Shahr E Shah E Bat'ha
Say,
Is Fikar Say Baithay
Hai Mehman Madinay
K
.
Ya Rab Main Kisi
Heelay Pohchun
Dar E Rahmat Par,
Lay Kr Hi Na Mar
Jaon Armaan
Madinay K
.
Dil Main Ho Bandhi
Jaise Ik Aas Shifat
Ki
Hai Ummat E Aasi
Par Ahsaan Madinay
K
.
Har Hukam E Nabi
Samjho Ta Shaam
E Abad Nafiz,
Tanseekh Say Baa'la
Hai Farmaan Madinay
Ka
.
Kuch Pas Na Ho Jis
Ko Adaab E Risalat
Ka,
Us Shakhs Say Afzal
Hai Haiwan Madinay

Ka
.
Hazir Hai "Naseer"
Aaqa Kuch Bheek
Inayat Ho,
Sadqay Tere Gumbad
Par Qurban Madinay
K....*SA*
.
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Maa'ta E Zeest

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga