Koi Jaye Tor Pay Kis Liay Kahan Ab Wo Khush Nazri Rahi,

Koi Jaye Tor Pay
Kis Liay Kahan Ab
Wo Khush Nazri
Rahi,
Na Wo Zouq E
Deeda Wari Raha Na
Wo Shaan E Jalwa
Gari Rahi.*
.
Jo Khulsh Ho Dil
Ko Sakoon Mile,
Jo Tapish Ho Sooz
E Darwaa Mile,
Wo Haayat Asal
May Kuch Nahi Jo
Hayat Ghum Say
Buri Rahe.*
.
Jo Khizaan Ki
Garam Rawi Barhi
To Chaman Ka Roop
Jhulas Gaya,
Koi Guncha Sar Naa
Utha Saka Koi Shakh
E Gul Na Haari Rahi.*
.
Mujhe Bas Tera Hi
Khayal Tha Tera
Roop Tera Hi Jamal
Tha,
Na Kabhi Nigah Thi
Hoor Par Na Kabhi
Nazar Main Parri
Rahi.*
.
Tere Aastaan Say
Juda Hoa To Sakon
E Dil Na Mujhe Mila,
Meri Zindagi K
Naseeb Main Jo Rahi
To Dar Badri Rahi.*
.
Tera Husn Ka Noor
Hai Tera Luft Waja
E Saroor Hai,
Jo Tere Karam Ki
Nazar Hoi To Maa'ta
E Dil Nazri Rahi.*
.
Jo Tere Khayal May
Goum Hoa To Tamam
Waswasay Mit
Gaye,
Na Janoon Ki Jaama
Daari Rahi Na Khurd
Ki Dard Sari Rahi.....*SA*
,.
Mujhe Bandagi
Ka Maza Mila Mujhe
Aa'gaahi Ka Sila Mila,
Tere Aastaan E Naaz
Par Jo Dhari Jabee
To Dhari Rahi.*
.
Ye Mah O Najoom
Ki Roshni Tere Husn
Ka To Badal Nahi,
Tera Hijar Shab Ka
Sohaag Tha, Mere
Ghum Ki Maang
Bhari Rahi.*
.
Rah E Ishq Main Jo
Howa Guzar Dil O
Jaan Ki Kuch Naa
Rahi Khabar,
Na Ko Rafeeq Na
Hum Safar Mere
Saath Bay Khabri
Rahi.*
.
Tere Haasudron Ko
Malaal Hai Ye "Naseer"
Fun Ka Kamaal Hai,
Tera Koul Tha Jo
Saanud Raha Teri
Baat Thi Jo Khari
Rahi....*SA*
.
Type By....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book
Paimaan E Shab


Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki