Masnad E Naz Pay Jab Wo Sitam Ijaad Aaya,

Masnad E Naz Pay
Jab Wo Sitam Ijaad
Aaya,
Toot Kar Aik Jahaan
Bar Sar E Faryaad
Aaya.*
.
Kaam Imaan K Akhir
Mera Al'haad Aaya,
Daikh Kar Us Butt E
Kafir Ko Khuda Yaad
Aaya.*
.
Unki Mehfil Main
Ye Jaane Ka Natija
Nikla,
Main Gaya Shaad
Magar Load K Na
Shad Aaya.*
.
Amd O Raft Ki Us
Bazm Main Sorat
Ye Rahi,
Ba Sar O Chashm
Gaya Hamil E
Faryaad Aaya.*
.
Aik Jaan Or 2 Qulb
Bhi Rahe Hai Hum
Tum,
Haaye Kya Dour
Tha Tum Ko Bhi
Kabhi Yaad Aaya.*
.
Qatal Honay K Liay
Maine Jhuka Di
Gardan,
Muskurata Hoa Is
Shaan Say Jal'laad
Aaya.*
.
Hum Boht Roay
Hai Sai'yaad K Ghar
Main Ghir Kar,
Chaar Tinkon Ka
Nashainam Jo
Hamain Yaad Aaya.*
.
Justaju Main Teri
Jo Shakhs Gaya
Shaad Gaya,
Jo Tere Shaher Say
Aaya Barbad Aaya.*
.
Itna Itra'ain
Baharon Pay
Ahl E Gulshan,
Hum Bhi Thay
Maa'il E Parwaaz

Kah Sai'yad Aaya.*SA*
.
Kaar Farma Hai
Kisi Mosal'at E
Khaas Ki Ru,
Warna Mera Ye
Muqaddar K
Tumhain Yaad
Aaya.*
.
Zehan E Insaan Py
Ye Bay Kaar Hai
Saare Pehray,
Usay Paband Kare
Kon Jo Aazad Aaya.*
.
Daad Ho Ya K Ho
Bedaad Sitam Ho
K Karam,
Kuch Bhi Ho Mera
Muqaddar K
Tumhain Yaad Aaya.*
.
Qais O Farhad Ko
Yak Go Na Rahaa
Mujh Say Khaloos,
Jab Bhi Daikha To
Pukaar Uthay K
Ustaad Aaya.*
.
Wo Bhi Milta Jo
Gale To Khushi
Eid Ki Thi,
Koi Reh Reh Kay
"Naseer" Aaj Boht
Aaya....*SA*
.
Type By....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga