Na Aaye Tujhko Nazar, Tu Magar Udaas Na Ho

Na Aaye Tujhko Nazar,
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Na Aaye Tujhko Nazar, Tu Magar Udaas Na Ho
.
Tlash Kar Wo Yaheen Aas Paas Na Ho
.
Mujhe Yaqeen Nahi Usko Tera Paas Na Ho
.
Tera Gumaan Na Ho Ya Tera Qiyaas Na Ho
.
Wo Or Kya Kare Aakhir Agar Udas Na Ho
.
Bagair Na Chain Aaye, Ishq Raas Na Aaye
.
Ye Kis Ko Log Liay Ja Rahe Hai Kandhon Par
.
Kahin Ye Shakhs Wafa Shanaas To Nahi
.
Bicharny Walon Ko Phr Bhi Khuda Milata Hai
.
Tumhain Hamari Kasam Is Qadar Udaas Na Ho
.
Ye Bandagi Hai K Har Haal Main Ho Shukar Uska
.
Hazaar Kuch Or Magar Koi Nasa'paas Na Ho
.
Wo Majra Jo Hai Majnu K Naam Say Mashhor
.
Kahin Hamare Fasane Ka Iqtabas To Nahi
.
Ziya E Ilm O Hunar Say Hai Abro Ay Bashar
.
Ye Roshni To Ho Ujla Gar Libas Na Ho
.
Maza To Jab Hai K Baat Baat Ho Qund O Nabaat
.
Wo Baat Zahr Hai Jis Main Mithas Na Ho
.
Hai Ik Tanz Ka Nishtar Dua E Umar E Daraaz
.
Us Aik Shakhs Ko Jeene Ki Jisko Aas Na Ho
.
"Naseer" Khail Nahi Hai Shaaor E Zaat Sifaat
.

Khuda Shanaas Kahan Wo Jo Khud Shanaas Na Ho....*SA*
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer
Book:-

Paiman E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga