Nahi Parwaaz Ki Taqat Ghaneemat Hai Magar Phr Bhi

Nahi Parwaaz Ki Taqat
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*

.
Nahi Parwaaz Ki Taqat Ghaneemat Hai Magar Phr Bhi
.
Hamare Kaam Aatay Hai Baal O Par Phr Bhi
.
Kiya Wada Magar Aaya Nahi Wo Raat Bhar Phr Bhi
.
Usi Ki Rah Guzar Taktay Rahe Hum Ta Saher Phr Bhi
.
Paaye Takseen E Khatir Laakh Heely Hon Waseelay Hon
.
Nahi Hota Sakoon E Dil Muyassar Umar Bhar Phr Bhi
.
Jo Un K Dil Main Hai Nok E Zuban Par Wo Nahi Laate
.
Boht Kuch Kah Raha Hai Unka Andaaz E Nazar Phr Bhi
.
Ye Mana Khat Main Sab Kuch Likh Diya Tafseel Say Hum Nay
.
Zuban Kuch Haal Hamara Haal Kahna Nama E Bar Phr Bhi
.
Haseenaan E Jahan Saf'faak Bhi Hai Sang Dil Bhi Hai
.
Na Ho Darnay Ki Koi Baat Lekin Un Say Darr Phr Bhi
.
Watan Say Door Aasaish Kisi Ko Mil Nahi Sakti
.
Khuda Lagti To Ye Hai Apna Ghar Hai Apna Ghar Phr Bhi
.
Piay Jata Hun Lekin Tashnagi Ta Haal Baqi Hai
.
Tere Qurban Saqi Ik Zara Zehmat Idhar Phr Bhi.....'*'SA'*'
.
Luta Baithay Hazaron Kafilay Manzil Ki Rahon Main
.
Na Baaz Aye Janoon Rahbari Say Rahbar Phr Bhi
.
Wo Ik Tum Ho K Tum Nay Ahd O Paimaan Tor Dalay Hai
.
Ye Ik Hum Hai Array Baithay Hai Apni Baat Par Phr Bhi
.
Shab E Gham Chand Chup Jaye Ga Taare Doob Jayain Gay
.
Na Hogi Ronuma Meri Umeedon Ki Saher Phr Bhi
.
Hamara Kaam Hai Achi Buri Har Baat Samjhna
.
Ye Unka Apna Zim'ma Hai Na Samjhain Agar Wo Phr Bhi
.
Hum'he Par Munhasir Kiya Hai Hum Uthtay Hai To Uth Jayain
.
Rahega Sajda Gaah E Shoq Unka Sang E Dar Phr Bhi
.
Ba Andaaz E Maseehai Wo Apna Haath Rakhay Hai
.
Nahi Maloom Q Thamta Nahi Dard E Jiger Phr Bhi
.
Yaqeen Aahi Gaya Akhir Unhain Dushmano Ki Baaton Ka
.
Boht Kuch Hum Nay Samjhaya Na Na Samjhay Wo Magar Phr Bhi
.
Ilaaj E Zakhm E Dil Mumkin Nahi Unka Nigahon Sy
.
"Naseer Uljhay Hoay Hai Apni Zid Main Charagar Phr Bhi....*SA*
.
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book
Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga