Rakh Do Jo Apne Hathon Say Mayyat Utaar K.

Rakh Do Jo Apne Hathon.
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Rakh Do Jo Apne Hathon Say Mayyat Utaar K
Zar'ray Duain Dain Meri Khak E Mazaar K
.
Taiwar To Daikh Husn E Tabas'sum Sha'aar K
Qurbaan Ho Rahe Hai Tamashay Bahaar K
.
Akhir Ko Baat Maan Hi Li Thak K Haar K
Chup Hai Wo Haath Zor Say Zaanu Pay Maar K
.
Kaise Bholaun Saath Guzaray Jo Yar K
2 Din Hi Bas Naseeb Hoay Thay Bahaar K
.
Daikhay Hoay Hai Roop Saaba Husn E Yar K
Gajray Utaar Lay Na Uroos E Bahaar K
.
Darkaar Hai Bas Ik Ishara Nigah Ka
Dil Kya Hai Jaan Nazar Karon Sir Say Waar K
.
Sharminda Ho Na Jaye Kahin Shaam E Maikada
Niklain Na Ap Is Tarha Zulfain Sanwaar K
.
Us Gulbadan K Husn Ki Taz,een Or Hai
Sekhay Abhi Bahaar Saleekay Bahaar K
.
Dhundhla Gaya Hai Ghum Say Mere Dila Ka Aaina
Tum Say Na Saaf Hon Gay Ye Zar'ray Ghubaar K
.
Bas Yun Howa K Or Bhi Betaab Ho Gaye
Aaye Thay Tere Dar Pay Sawali Qarar K....*SA*
.
Pohnch Jo Unki Saadgi E Husn Tak Nazar
Horain Nay Rakh Diay Waheen Zaiwar Utaar K
.
Soraj Charh Dhul Bhi Gaya Shaam Ho Gai
Kuch To Kaho Tum Aaye Kahaan Din Guzar K
.
Ye Kiski Khaak Doosh E Hawa Par Machal Gai
Uthnay Lage Fiza Main Bagoolay Gubaar K
.
Saqi Na Ho "Naseer" To Weraan Hai Maikada
Aise Main Kya Karain Gay Yahan Din Guzar K.....*SA*
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki