Tere Pind O Naseehat Muhtasib Wo Kya Samjhtay Hai

Tere Pind O Naseehat Muhtasib
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*

.
Tere Pind O Naseehat Muhtasib Wo Kya Samjhtay Hai
.
Qayamat Ko Jo Unka Wada E Farda Samjhtay Hai
.
Nahi Hai Ahtiyat E Lab Kushai Ro Ba Ro Un K
.
K Ahl E Dil Zuban E Deeda E Meena Samjhtay Hai
.
Jo Gul K Aaine Main Daikh Sakte Hai Rukh E Gulshan
.
Wo Arbab E Nazar Qatray Ko Bhi Darya Samjhtay Hai
.
Koi Dar Parda Kis Say Chal Raha Hai Kon Si Chalain
.
Samjh Har Chandd Naqis Hai Magar Itna Samjhtay Hai
.
Na Pocho Kuch K Kya Kuch Day Diya Daine Wale Nay
.
Bara Ho Laakh Koi Hum Kisi Ko Kya Samjhtay Hai
.
Bazahir Khush Thay Jo Kal Tak Hamari Gul Fishani Par
.
Wo Apne Bhi Hamain Ab Rah Ka Kanta Samajhtay Hai....'*'SA'*'
.
Tere Dhokay Main Aanay Wale Nahi Aay Nifaaq E Aa'ra
.
Tere Bartao Ko Hum Khob Aay Dunya Samjhtay Hai
.
Nazar Unki Nahi Uthti Sar E Mahfil Meri Janib
.
K Wo Mere Lab E Khamosh Ka Mansha Samjhtay Hai
.
Jo Niklain Justaju Ka Shoq Lay Kar Rah E Jaa'na Main
.
Wo Har Manzil Ko Apne Paaon Ka Chhala Samjhtay Hai
.
Qayamat Sar Pay Jo Totay Musibat Dil Pay Jo Aaye
.
Haqeeqat Main Usay Hum Marzi E Mola Samjhtay Hai
.
Laga Di Tohmat E Bada Kashi Un Par Bhi Waaiz Nay
.
"Naseer" Unki Nazar Ko Jo Ma'ay O Meena Samjhtay Hai....'*'SA'*'
.
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book:-

Pamaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki