To Agar Rakhe Ga Saqi Hum Say Paimana Alag,

TO Agar Rakhe Ga Saqi
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
TO Agar Rakhe Ga Saqi Hum Say Paimana Alag,
Hum Bana Lainge Kahin Chota Sa Maikhana Alag
.
Iski Abadi Alag Hai Uska Werana Alag,
Door Is Dunya Say Rahta Hai Ye Dewana Alag
.
Ma'ay Kashi K Sath Luft E Raqs Paimana Alag,
Or Us Par Iltifat E Peer E Maikhana Alag
.
Khaal E Rukh Dil Ki Giraftari Ka Ik Samaan Hai,
Bay Khabar Hota Nahi Hai Daam Say Dana Alag
.
Ik Maqaam Aisa K Jeetay Je Guzar Mumkin Nahi,
Zindagi Tuj Kar Banaya Hum Nay Kashana Alag
.
Khud Numai Uski Fitrat, Beniyazi Iski Khuo,
Rang E Shahana Juda Shan E Fakeerana Alag
.
Gul Khilaye Fasl E Gul Atay Hi Dewano Nay Yun,
Ab Nazar Aata Nahi Gulshan Say Werana Alag
.
Ansoun Say Likh Rahe Hai Waqiyat E Zindagi,
Hum Martab Kar Rahe Hai Apna Fasana Alag
.
Tere Sadqay Ab Nahi Saqi Mujhe Koi Gila,
Mujhko Mil Jati Hai Ma'ay Peeny Ko Rozana Alag
.
Khaak Parwane Ki Sari Shab Rahi Un K Hazoor,

Sham'ma Say Rahta Nahi Kar Kar Bhi Parwana Alag.....*SA*
.
Maikaday Main Hum Hai Apne Nafs Main Mouj E Ma'ay,
Ab Na Sheesha Hai Juda Hum Say Na Paimana Alag
.
Zahido Ko Bada Noshon Say Ho Q Kar Altifaat,
Paarsai Or Shay Andaz E Rindana Alag
.
Pee Raha Hon Je Raha Hon Shaad Hon Sar Shaar Hon,
Dil Lagi Ma'ay Say Alag Saqi Say Yarana Alag
.
Maikaday Main Ab Bhi Itni Saakh Hai Apni "Naseer",
Ik Hamare Naam Ka Rahta Hai Paimana Alag....*SA'*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki