Tu Nay Jo Bakhshay Hamain Asbaab E Ghum Achay Lage

Tu Nay Jo Bakhshay Hamain
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Tu Nay Jo Bakhshay Hamain Asbaab E Ghum Achay Lage
Tere Bay Ja Zulm Bhi Teri Kasam Achay Lage
.
Ghum Ki Dunya Say Hoi Maanos Yun Tub'ee Hazee
Apne Ghum Achay Lage Dunya K Ghum Achay Lahe
.
Ik Isi K Dum Say Thay Ahl E Janoon Main Bay Waqaar
Aqal Kho Kar Kocha E Jaa'na Main Hum Achay Lage
.
Paas Jab Aaye To Hum Par Khul Gaya Daman E Faraib
Door Say Kya Kya Teri Zulfon K Khum Achay Lage
.
Hum Bura Kahte Rahe Jab Tak Shanasai Na Thi,
Maikhane Main Aaye Shaikh E Harum Achay Lage
.
Rog Dil K Dhal Gaye K Uqday Khul Gaye
Ap Ki Nisbat Hoi Hasil To Hum Achay Lage
.
Dil Unhain Day Kar Muhabt Ka Bharam Rakhna Para
Bay Rukh Achi Lagi Zulm O Sitam Achay Lahe
.
Ahl E Alam Say Kiya Bay Aay'tanai Ka Gila
Mere Afsanay "Naseer" Unko Bhi Kum Achay Lage....'*'SA'*'
",,
",,
Poet:-
Peer Naseer O Deen Naseer Shah
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga