Umar Beeti Hai Haal E Ghum Kahte,

Umar Beeti Hai
Haal E Ghum Kahte,
Or Kya Dastaan
Hum Kahte.*
.
Apni Rudaad E
Ranj O Ghum Kahte,
Koi Sunta To Us Sy
Hum Kahte.*
.
Aa'ray Aate Hai Dagh
E Dil Warna,
Kochaa E Yaar Ko
Iram Kahte.*
.
Baat Chirti Agar
Tagaaful Ki,
Hum Sitam Kahte
Wo Karam Kahte.*
.
Tu Na Chupta Agar
Nigaahon Say,
Log Pather Ko Q
Sanam Kahte.*
.
Wo Jo Rasmun Bhi
Maherban Hota,
Hum Isay Ishq Ka
Bharam Kahte.*
.
Haal E Ghum Kah
Raha Hon Ruk Ruk
Kar,
Dil Dharkta Hai Ik
Dum Kahte.*
.
Naam Q Na Liyaa
Muqaddar Ka,
Unki Zulfon Ka Aik
Khum Kahte.*
.
Kabhi Milte To Apna
Apna Ghum,
Hum Say Wo Or Un
Say Hum Kahte.*
.
Aik Uftaad Ho To
Zikar Karain,
Dum Nikalta Hai
Haal E Ghum Kahte.*
.
Kis Nay Apna
"Naseer" Saath Diya,
Kis Ko Dunya Main
Hum-Qadam Kahte....*SA*
.
Type By,,,,-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad,,,-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki