Un K Andaaz E Karam Un Pay Wo Aana Dil Ka,

UN K Andaz E Karam
.
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
UN K Andaaz E
Karam Un Pay Wo
Aana Dil Ka,
Haaye Wo Waqt Wo
Batain Wo Zamana
Dil Ka.*
.
Na Suna Us Nay
Tawaj'jo Say Fasana
Dil Ka
Zindagi Guzri Magar
Dard Na Jaana Dil
Ka.*
.
Kuch Naai Baat Nahi
Husn Pay Aana Dil
Ka,
Mashgala Hai Ye
Nihaayat Hi Purana
Dil Ka.*
.
Wo Muhabt Ki
Shoro'aat Wo Bay
Thaah Khushi,
Daikh Kar Unko
Pholay Na Saamana
Dil Ka.*
.
Dil Lagi Dil Ki Lagi
Ban K Mitaa Daiti
Hai,
Roog Dushman Ko
Bhi Ya Rab..! Na
Lagana Dil Ka.*
.
Aik To Mere
Muqaddar Ko Bigara
Is Nay,
Or Phr Ghazab Hans
K Banana Dil Ka.*
.
Mere Pehlu Main
Nahi Apki Mut'thi
Main Hai,
Bay Thikanay Hai
Boht Din Say Thikana
Dil Ka.*
.
Wo Bhi Apne Na
Hoay Dil Bhi Gaya
Haathon Say,
Aaise Aanay Say To
Behter Tha Na Aana
Dil Ka.*
.
Khob Hai Ap Boht
Khoob, Magar Yad
Rahe,
Zaib Daita Nahi
Aaison Ko Satana
Dil Ka.....*SA*
.

Bay Jhijhak Aa K
Milo Hans K Milao
Ankhain,
Aao Hum Tum Ko
Sikhatay Hai Milana
Dil Ka.*
.
Naqsh Bar Aab Nahi,
Wehem Nahi,
Khawab Nahi,
Ap Q Khail Samjhtay
Hai Mitana Dil Ka.*
.
Hasratain Khaak Hoi
Mit Gaye Armaan
Saray,
Lut Gaya Kocha E
Jaa'na Main Khazana
Dil Ka.*
.
Lay Chala Hai Mere
Pahlu Say Bay Sudd
Shoq Koi,
Ab To Mumkin Hi
Nahi Loat K Aana
Dil Ka.*
.
Unki Mehfil Main
"Naseer" Un K
Tabassum Ki Kasam,
Daikhtay Rah Gaye
Hum Haath Say
Jaana Dil Ka....*SA*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki