Unki Nazarain Raaz E Ulfat Paa Gain,

Unki Nazarain
Raaz E Ulfat Paa
Gain,
Ankhon Hi Ankhon
Main Dil Tak Aa
Gain.*
.
Husn Ki Kirnain Thi
Sab Par Cha Gain,
Waqt Ki Raftar Tak
Thehra Gain.*
.
Kya Batain Q Hai
Ankhon Main Nami,
Kuch Purani Mehfilain
Yaad Aa Gain.*
.
Hasratain Jab Tak
Theen Dil Abaad
Tha,
Shaher Weraan Ho
Gaya, Wo Kya Gain.*
.
Chand Ki Kirno Ko
Tha Khud Par Gharor,
Tera Jalwa Daikh
Kar Sharma Gain.*
.
Bewafa Ho Kar Wafa
K Tazkaray,
Khair Say Batain
Banani Aa Gain.*
.
Un K Jalwo Ki Karam
Farmaiyan,
Chandni Si Mere Ghr
Barsa Gain.*
.
Fitna Samaan Theen
Nigahain Apki,
Jis Taraf Uthi Qayamat
Dhaa Gain.*
.
Main Yahi Samjha K
Wo Khud Aa Gaye,
Chand Ki Kirnain
Mujhe Behka Gain.*
.
Khawab E Gaflat
Main "Naseer" Ab
Tak Tha Main,
Zindagi Ki Thokrain
Chonka Gain....*SA*
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki