Aa Gaye Wo Meri Chashm E Motabir K Samne,

Aa Gaye Wo Meri
Chashm E Motabir
K Samne,
Parda Kab Utha
Nigah E Parda Dar
K Samne
.
Wo Pas E Chilman
Hai Hum Hr Dum
Nazar K Samne,
Aaj Hum Deewar
Ban Baithay Zar K
Samne
.
In Gareebon Ko
Samjh May Nahi
Aati Dawa,
Charagar By Bas
Hoay Dard E Jiger
K Samne
.
Bujh Gaya Bazm E
Falak Ka Noor
Barasta Chiraagh,
Daagh E Dil Chamka
Jo Khursheed E Saher
K Samne
.
Daikhiay Ab Azaan
E Sajda Kisko Hota
Hai Naseeb,
Sar Ba Khum Dunya
Khari Hai Sang E Dar
K Samne
.
Hum Tilism E Arsa
E Hasti Main Kho
Baithay Hawas,
Kuch Karishmay Aa
Gaye Nazr K Samne
.
Hashar Main Khul
Jaye Ga Insan Pay
Khud Apna Bharam,
Aaye Jab Aamaal
Sare Umar Bhar K
Samne
.
Ik Zara Deewangi
Kuch Or Hony Do
Fuzoon,
Beech Hai Dewaar
E Zindaan Mere Sar
K Samne
.
Maine Likha Tha K
Dain Forun Mere
Khat Ka Jawab,
Purzy Purzy Kr Dia
Khat Nama Bar K
Samne
.
Ghum Nahi Kuch
Hasad'on Ki Harf
Geeri Ka "Naseer",
Raat K Taaray Kahin
Thahray Saher K

Samne.....*SA*
.
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book
Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga