Jagmagany Lagi Baam O Dar Chandni,

Jagmagany Lagi
Baam O Dar
Chandni,
Har Taraf Aa Rahi
Hai Nazr Chandni.*
.
Wo Nahi Hai To
Barq O Sharar
Chandni,
Dhondh Ly Ab Koi
Or Ghar Chandni.*
.
Un K Jalwon Ki
Tashreeh Mumkin
Nahi,
Sar Ba Sar Noor Hai
Sar Ba Sar Chandni.*
.
Yun Hi Kahte Nahi
Unko Rashk E Qamar,
Wo Jidhar Hun Gay
Hogi Udhar Chandni.*
.
Teergi Teergi Hi Rahe
Gi Sada,
Laakh Patkaa Kare
Apna Sar Chandni.*
.
Meri Tareek Qismat
Ka Aalam Ye Hai,
Chand By Noor Hai
By Aasar Chandni.*
.
Husn Hai Unka Yun
Bazm Main Zu Fagan,
Jaise Chaai Ho Mahool
Par Chandni.*
.
Aa Gaya Hai Mera
Chand Shayad Nazr,
Hai Ufaq Na Ufaq
Jalwagar Chandni.*
.
Un K Jalwon May
Gum Ho K Mumtaz
Ho,
Thokarain Kha'ain
Q Dar Ba Dar Chandni.*
.
By Hijabana Nikle
"Naseer" Aaj Wo,
Main Bhi Daikhon
Sar E Rahguzar
Chandni....*SA*
.
Type By....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki