Jo Kafan Bandh K Sar Say Guzray,

Jo Kafan Bandh K
Sar Say Guzray,
Wo Teri Rah Guzar
Say Guzray.*
.
Dil Say Guzray K
Jiger Say Guzray,
Hum Ko Kya Koi
Kidhar Say Guzray.*
.
Un Main Shamil
Tha Mere Dil Ka
Laaho,
Ashk Ko Deeda-Tr
Say Guzray.*
.
Raste Band Bala K
Pahray,
Koi Guzray To Kidhr
Say Guzray.*
.
Or Koi Na Jachaa
Ankhon May,
Ap Hi Ap Nazr Sy
Guzray.*
.
Daar Ki Rah Na
Guzra Koi,
Aik Hum Thay Jo
Udhar Say Guzray.*
.
Apki Bazm Main Aa
Kar Lakhon,
Jaan Say Dil Say
Jiger Say Guzray.*
.
Deeda O Dil Pay
Qayamat Guzri,
Ban Sanwar Kar Wo
Jidhar Say Guzray.*
.
Rook Ashkon Ka Ye
Silaab "Naseer",
Is Say Pahle K Ye
Sar Say Guzray....*SA*
.
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki