Jo Maherban Tha Sitamgar Howa Ghazab Kya Hai

Jo Maherban Tha
Sitamgar Howa
Ghazab Kya Hai,
Ilaahi Khair Wo
Jab Kya Tha Wo
Ab Kya Hai.*
.
Ye Dosti Bhi Ho Ik
Dushmani Ajab Kya
Hai,
Kabhi Khafa Ho Kabhi
Maherban Ye Sab
Kya Hai.*
.
Nigah Daikh Rahi
Hai Samjh Nahi Sakti,
Khabar Nahi Ye
Tamashay Roz O
Shab Kya Hai.*
.
Ye Dil Unhi Ka Tha
Ye Jaan Unhi Ki
Sahi,
Shikayat Unko
Muhabt Main Hum
Say Ab Kya Hai.*
.
Khuda Gawah Main
Un Say Mang Lon
Unko,
Kabhi Wo Poch K
Daikhain Meri Talab
Kya Hai.*
.
Kaha Hai Ye Chara
Garoo Nay Dawa Hai
Baad Ki Baat,
Pata Chale K Tere
Dard Ki Waja Kya Hai.*
.
Tumhare Wada E
Farwa Ka Aaitbar
To Hai,
Guzar Hi Jaye Gi
Furqat Ki Aik Shab
Kya Hai.*
.
Khuda Gawah Kah
Is Par Mujhe Ghamand
Na Tha,
Magar Hashar Main
Ja Kar Khula Nasab
Kya Hai.*
.
"Naseer" Dil Ki
Khushi Par Hai
Inhasar E Nishaat,
Udaas Dil Ho To Phr
Mehfil E Tarb Kya
Hai....*SA*
.
Type By.......*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki