Khamoshi K Zuban Say Guftagu Karni Bhi Aati Hai,

Khamoshi K Zuban
Say Guftagu Karni
Bhi Aati Hai,
Hamain Ashkon Sy
Shar E Arzo Karni
Bhi Aati Hai
.
Faqt Hathon Say
Mehndi Ko Rachana
Hi Nahi Aata,
Unhain Har Arzo
Meri Laaho Karni
Bhi Aati Hai
.
Nahi Dushwar Koi
Manzil E Maqsood
Ka Mitna,
Safar Dar Paish Ho
To Justaju Karni Bhi
Aati Hai
.
Adab Ma'ay Hai
Warna Bargah E
Naaz Main Ja Kar,
Humain Har Baat
Un K Ru Ba Ru Krni
Bhi Aati Hai
.
Kahin Aaisa Na Ho
Ghabra K Wo
Mehfil Say Uth Jayain,
K Is Nacheez Ko
Kuch Baa O Hu Karni
Bhi Aati Hai
.
Kisi K Martaby Ka
Paas Hai Waqt E
Sukhan Lazim,
Tumhain Waaiz
Kisi Say Guftagu
Bhi Karni Aati Hai.*
.
Baha Kar Khon E Dil
Armaan Sab Apne
Laahu Kar K,
Tere Kochay Ki Mit'ti
Surkh Ru Karni Bhi
Aati Hai
.
Janaab E Shaikh Aksr
Maikaday Say By
Piaye Nikle,
Ba Humdu Lillah
Ibadat Bay Waazu
Bhi Karni Aati Hai
.
"Naseer" Apno Ki
Izzat Log Karte Aaye
Hai Lekin,
Wo Hum Hai Jinko
Tazeem E Aadu Karni

Bhi Aati Hai....*SA*
.
Type By....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga