Lo Giraftar E Ghum E Ulfat Hun Aay Humdum Abhi,

Lo Giraftar E Ghum
E Ulfat Hun Aay
Humdum Abhi,
Dard Uthta Hai
Mere Dil Main Magr
Kum Kum Abhi
.
Ashkara Ho Nahi
Paya Tera Ghum
Abhi,
Aay Dil E Nashad
To Faryad Kar
Paihum Abhi
.
Main Bhi Rotha Ap
Say Main Bhi Howa
Barhum Abhi,
Bewafa Bhi Hun
Lekin Ap Say Kum
Kum Abhi
.
Deedni Hai Dosto
Ka Ye Khulos E Pur
Faraib,
Day Rahe Hai Ghum
Wohi Jo Thay Sharik
E Ghum Abhi
.
Samna Unka
Muyassar Ho To
Phr Khul K Bars,
Aay Suhaab Garya
E Chashm E Tamanna
Thum Abhi
.
Hum Nay Mustaqbil
Ki Sarhad Par
Gumbadain Daal
Dee,
Apko Kya Fikar Mazi
Ka Karain Maatum
Abhi
.
Daikh Lab Par Aa
Jaye Koi Harf E
Aarzo,
Aay Dil E Nadaan
Mizaaj E Yaar Hai
Barhum Abhi
.
Ghair Mumkin Hai
Tere Ghum Ki
Pazeerai Na Ho,
Bewafa Itne Gaye
Guzray Nahi Hai Hum
Abhi
.
Rafta Rafta Ho Gaye
Ahbaab Sab Rukhsat
"Naseer",
Mere Seene Main
Magr Taaza Hai Unka
Ghum Abhi....*SA*
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-

Naseer O Deen Naseer

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga