Har Ishara Dushman E Qulb O Jiger Lagne Laga

Har Ishara Dushman E Qulb O Jiger Lagne Laga
.
Husn Walo Ki Nazar Say Mujhko Darr Lagne Laga
.
Jaise 2no Main Ho Koi Khaas Waja E Mushtariq
.
Ab To Mujhko Apka Ghar Apna Ghar Lagne Laga
.
Is Numaish Gaah E Alam Ki Numaish Daikh Kar
.
Har Nazara Humko Jaado Ka Asar Lagne Laga
.
Kum Nahi Amad Say Teri Tere Aanay Ki Khabar
.
Aaj Qasid Ka Bayaan Bhi Motabir Lagne Laga
.
Daikh Kar Sai'yaad Ko Sakte Main Hai Marg E Chaman
.
Baal O Par Hoty Hoay Bay Baal O Par Lagne Laga
.
Khul Gaya Hai Apni Ankhon Par Rafaqat Ka Saraab
.
Ab To Humko Apne Saaye Sy Bhi Darr Lagne Laga
.
Jab Jabeen E Shoq Ny Daikha Ba Chashm E Aetiqaad
.
Sara Alam Hi Tumhara Sang E Dar Lagne Laga
.
Intiha Ay Dard Ny Fitrat Badal Dali "Naseer"
.
Ghum Mujhe Kab Zahr Lagta Tha Magar Lagne Laga....'*SA*'
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki