Rehne Lagi Wo Zulf E Garah Geer Samnay

Rehne Lagi Wo Zulf E Garah Geer Samnay.*
.
Har Waqt Ab To Hai Yahi Zanjeer Samne.*
.
Aaty Hai Khair Say Wo Nazar Kabhi Kabhi.*
.
Aane Lagi Hai Khawab Ki Tabeer Samne.*
.
Ho Jayega Mohasba Dushman Ka Khud Ba Khud.*
.
Aa Jayain Gay Faraib K Sab Teer Samne.*
.
Aay Dil Zara Sanbhl K Uthana Udhar Qadam.*
.
Wo Daikh Wo Hai Zulf Ki Zanjeer Samne.*
.
Mabni Munafiqat Pay Hai Yaaro Ka Ye Chalan.*
.
Tazleel Meri Bad Main Toqeer Samne.*
.
Tadbeer Say Badal Nahi Sakte Muqadraat.*
.
Hoga Wohi Jo Laye Gi Taqdeer Samne.*
.
Dewana To Bahaar Main Sehra Ko Chal Diya.*
.
Toti Pari Hoi Hai Wo Zanjeer Samne.*
.
Kya Likh Diya Maine K Tum Ho Gaye Khafa.*
.
Lao To Ik Zara Meri Tehreer Samne.*
.
Hans Kar "Naseer" Sy Bhi To Kuch Guftagu Karain.*
.
Baitha Hoa Hai Apka Dilgeer Samne....'*SA*'
.
Type By......-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet:-
Naseer O Deen Naseer
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga