Un Say Har Waqt Meri Ankh Lari Rahti Hai,

Un Say Har
Waqt Meri Ankh
Lari Rahti Hai,
Kya Laraka Hai K
Larnay Pay Aarri
Rahti Hai.*
-
-
-
Daikh Kar Waqt
K Maqtal Main
Meri Shan E Warwad,
Dar Main Qatil
Hi Nahi Moat Khari
Rahti Hai.*
-
-
-
Teri Tasveer Mere
Dil Main Nageenay
Ki Tarha,
Jagmagati Hai
Chamakti Hai Jarri
Rahti Hai.*
-
-
-
Log Sach Kahte
Hai Pamal E Muhabt
Mujhko,
Meri Chahat Tere
Qadmo Pay Pari
Rahti Hai.*
-
-
-
Afatain Laakh Hon
Daikha Na Kabhi
Chehra E Yaas,
Mujhko Allah Say
Umeed Bari Rahti
Hai.*
-
-
-
Jo Kabhi Khon E
Shahedaan Say
Hina Band Rahe,
Ab Unheen Phol
Say Hathon Main
Char'ri Rahti Hai.*
-
-
-
Yun Na Itra K
Jawani Bhi Hai
Aani Jani,
Chandni Chand
Ki Do Char Ghari
Rahti Hai.*
-
-
-
Garya E Chashm
Ka Ulfat Main Ye
Alam Hai "Naseer"
Koi Mosam Bhi Ho
Sawan Ki Jhari
Rahti Hai....'*SA*'
-
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
-
-
Poet:-
Peer Naseer O Deen
Naseer Shah
Book

Paimaan E Shab

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki