Aik Hikayat Thar'ra Uthi Aik Fasana Jaag Utha

Aik Hikayat Thar'ra Uthi Aik Fasana Jaag Utha
.
Us Ny Jidhar Ko Hans Kr Daikha Hairat Khana Jaag Utha
.
Mere Janon Ny Chup Sadhi Thi Uski Nazr Phr Hasnay Lagi
.
Aik Dewana Soya Hi Tha Aik Dewana Jaag Utha
.
Shamma Akeli Jalti Rahi Kal Raat Bari Mayosi Say
.
Junhi Magr Wo Raakh Hoi Morakh Parwana Jaag Utha
.
Yar K Kaano Tak Darban Nay Cheekh Na Meri Jane Di
.
Shor To Itna Tha Warna Apna Baigana Jaag Utha
.
Raat Boht Bay Waqt Adam Hum Ja Nikle Maikhane Ko
.
Phr Bhi Hamari Dastak Sun Kr Aik Paimana Jaag Utha.....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Chara E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki