Baat Ka Koi Faisla Na Howa

Baat Ka Koi Faisla Na Howa
Shukar Hai Khon Ka Mud'da Na Howa
.
Ishq Nay Gar Hazaar Jaal Bunay
Husn Dhokay Main Mubtala Na Howa
.
Khuld Ko Apna Ghr Mat Samjho
Daikhna Garohaan Khula Na Howa
.
Maang Baithay Thy Hum Dua Aik Din
Phr Kabhi Aisa Hosla Na Howa
.
Kuch To Hota Hai Thek Ho Ya Ghalat
Phr Bura Kya Agar Bhala Na Howa
.
Wo To Bay Hud Kareem O Mushfiq Thay
It'tifaqun Mera Bhala Na Howa
.
Kya Howa Ye Na Poch Aay Hum Dum
Balkah Sirf Itna Poch Kya Na Howa
.
Dard Ki Bhi Dawa Hoi Hai Kabhi
Dard Wo Kya Jo La Dawa Na Howa
.
Maine Chaira Tha Dil Lagi Say Usay
Wo Bhi Kuch Soch Kar Khafa Na Howa
.
Koh Kunn Nay Wo Rameet Qaim Ki
Phr Koi Jurm Wafa Na Howa
.
Tu Salamat Rahe Bakhair Rahe
Kya Howa Tu Agar Mera Na Howa
.
Haaye Us Mehjabeen Ka Hijar "Adam"
Jo Juda Ho K Bhi Juda Na Howa....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga