Dunya K Zorr Pr Na Tere Iltifat Pr,

Dunya K Zorr Pr Na Tere Iltifat Pr,
Main Ghour Kr Raha Hon Kisi Or Baat Pr
.
Daikha Hai Muskura K Jo Us Mehjabeen Ny,
Joban Sa Aagaya Zara Waqiat Pr
.
Dete Hai Hukam Khudhi Mujhe Bolny Ka,
Phr Tokty Hai Ap Mujhe Baat Baat Pr
.
Main Janta Hon Tum Bare Safaak Ho Magr,
Insan Ko Ikhtiyar Nahi Hadsaat Pr
.
Jeena Hai 4 Roz To Aay Sahib E Khurd,
Gehri Nazar Na Daal Faraib E Hayat Par
.
Aaisi Haseen Batain Hoi Bhi Hai Sach Kabhi,
Main Kis Tarha Yaqeen Karon Teri Baat Par
.
Gultaan Thi Kainaat Usi Rung Main "Adam",
Jis Rang Ki Nagah Pari Kainaat Par....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki