Kal Kaheen Tujh Say Bhi Acha Tera Bimaar Na Ho

Kal Kaheen Tujh Say Bhi Acha Tera Bimaar Na Ho
.
Itne Sangeen Tagaful Ka Gunahgaar Na Ho
.
Zindagi Main Bhi Sakon Dhundhtay Ho Diwano
.
Zindagi Kya Hai Jo Chalti Hoi Talwaar Na Ho
.
Ap Ki Baat K Mafhom Kai Hote Hai
.
Ap Ki Haan Kaheen Hum Maaeni Inkaar Na Ho
.
Raat Ko Nisf Say Zaaid Magr Darr Ye Hai
.
Is Gaye Waqt Bhi Darbaan Kaheen Bay Daar Na Ho
.
Barhami Main Jo Halawat Hai Sajawat Main Kahaan
.
Zulf Hi Kya Hai Jo Ashfita O Khum Daar Na Ho
.
Shamma Main Kya Hai Jo Daita Hai Patangay Ko Faraib
.
Us K Parday Main Tera Shola E Rukhsaar Na Ho
.
Khulq Ruk Jaye Gi Na Gaah Tamashay K Liay
.
Mujh Say Is Darja Khafa Sar E Bazaar Na Ho
.
Dil Ko Lay Aata Hon Bazaar Say Wapis Har Roz
.
Is Tarha Ka Bhi "Adam" Qehet E Kharidaar Na Ho....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga