Khabr Koi Meri Agar Paaiye Ga

Khabr Koi Meri Agar Paaiye Ga
Mujhe Bhi Mere Saath Milwaiye Ga
.
Zamane Ka Dastor Hai Nuqta Cheeni
Zamane Say Bilkul Na Ghabraiye Ga
.
Zara Main Bhi Dil Apna Thanda Karonga
Zara Ap Bhi Naaz Uthaiye Ga
.
Dawami Rafaqat To Mushkil Hai Phr Bhi
Boht Jald Dhoka Na Day Jaiye Ga
.
Ye Dil Waqay'ee Boht By Kashish Hai
To Kya Isko Weraan Kr Jaiye Ga
.
Yahi Aana Jana To Hai Zindagi Ka
Kabhi Aaiye Ga Kabhi Jaiye Ga
.
Jo Humdardiyaan Ap Nay Ki Hai
Kabhi Ap Hi Ghour Farmaiye Ga
.
"Adam" Hi Ka Ghr Aaj Ban Jaye Jannat
Gai Raat Hai Kis Tarf Jaiye Ga....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abd Adam
Book

Chara E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga