Marhala Jo Bhi Zindagi Ka Hai

Marhala Jo Bhi Zindagi Ka Hai
Rasta Yaar Ki Gali Ka Hai
.
Hum Ko Nashaad Rakh K Asooda.?
Maajra Sab Teri Khushi Ka Hai
.
Wo Adawat Karain To Bismillah
Un Say Rishta Jo Dosti Ka Hai
.
Moat To Aik Bay Zarar Shay Hai
Ghao Jo Bhi Hai Zindagi Ka Hai
.
Kya Jaga Kis Ko Aa Gai Hai Pasand
Dil Main Aasthaan Aik Pari Ka Hai
.
In Siyah Rang Kakilon Main "Adam"
Kitna Tofaan Roshni Ka Hai.....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki