Mujhko Ahwal E Gulistaan Pay Hansi Aati Hai

Mujhko Ahwal E Gulistaan Pay Hansi Aati Hai
.
Argawal Poush Bayabaan Pay Hansi Aati Hai
.
Mahjabeeno Sy Ye Daryaaft To Kar Do Unko
.
Q Mere Chak E Garaiban Pay Hansi Aati Hai
.
Hai Bharam Uska Bhi Qaa'im Teri Angrai Tak
.
Wus'at E Alam E Imkan Pay Hansi Aati Hai
.
Aa To Jata Hai Magr Darr K Chala Jata Hai
.
Ehtiyaat E Ghum O Doraan Pay Hansi Aati Hai
.
Badshahi Ny Bana Dala Hai Haiwan Usko
.
Mujhko Badbakhti E Sultan Py Hansi Aati Hai
.
Aaj Phr Uska Bura Haal Hai Mere Baa'is
.
Aaj Phr Sorat E Darbaan Pay Hansi Aati Hai
.
Mere Mazhab Main To Mal'lah Usay Kehte Hai
.
Jisko Tagyani O Tofaan Pay Hansi Aati Hai
.
Zindagi Par Yun Aata Hai Khunda Jaise
.
Aik Baagoly Ko Bayaban Pay Hansi Aati Hai
.
Kya Tamasha Sa Bana Dala Hai Zalim Nay "Adam"
.
Baaz Oqaat To Yazdaan Pay Hansi Aati Hai.....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga