Mujhko Kis Shay Ki Talab Hai Mujhko Kya Darkaar Hai

Mujhko Kis Shay Ki Talab Hai Mujhko Kya Darkaar Hai
.
Is Zamin Main Kuch Tera Bhi Faisla Darkaar Hai
.
Ye Dawa To Tere Honthon K Shafa Khanay Main Hai
.
Mar Raha Hon Dard E Hasti Ki Dawa Darkaar Hai
.
Ye Zarorat Itni Na Jaiz Zarorat To Nahi
.
Aik Humdum Aik Sajan Aik Dilruba Darkaar Hai
.
2sron Pr Hi Na Kr Dijiay Tawajja Khatam Sab
.
Banda Parwar Mujhko Bhi Aik Dilruba Darkaar Hai
.
Aay Pari Wash Main Wafa Or Sidq Ka Bhoka Nahi
.
Mujhko Aik Khobsorat Bewafa Darkaar Hai
.
Jo Ghareebon Sy Bhi Humdardi Ka Karta Hai Salook
.
Mujh Ko Us Bhagwan K Ghr Ka Pata Darkaar Hai
.
Khizar Ko Ly Aao Mere Pas Gr Us Shakhs Ko
.
Waqay'ee Chakhny Ko Kuch Aab E Baqa Darkaar Hai
.
Qeemti Kaleen Dikhatay Hai Mujhe Tajir "Adam"
.
Or Mujhe Qeemat Baghair Aik Borya Darkaar Hai....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Chara E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki