|._._.-.Rotiyaan.-._._.|

|._._.-.Rotiyaan.-._._.|
.
Type By...-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Jab Adami K Pait Main Ati Hai Rotiyan
.
Pholi Nahi Badan Main Samati Hai Rotiyan
.
Ankhain Pari Rukhon Sy La-Daiti Hai Rotiyan
.
Seene Upar Bhi Haath Chalati Hai Rotiyan
.
Jitne Maze Hai Sab Ye Dikhaati Hai Rotiyan
.
Roti Sy Jis Ka Naak Talak Pait Hai Bhara
.
Karata Phire Hai Kya Wo Uchhal Kod Ja Ba Ja
.
Divaar Phaand Kr Koi KoTha Uchhal Gaya
.
Thaaththa Hansi Sharaab Sanam Saqi Is Siwa
.
100 100 Tarah Ki Dhoom Machati Hai Rotiyan
.
Jis Ja Py Haandi Chulhaa Tav'waa Or Tanoor Hai
.
Khaaliq Ki Qudraton Ka Usi Ja Zahoor Hai
.
Chulhay K Aage Aanch Jo Jalti Hazoor Hai
.
Jitne Hai Noor Sab Main Yahi Khaas Noor Hai
.
Is Noor K Sabab Nazar Aati Hai Rotiyan
.
Aave Tave Tanoor Ka Jis Ja Zubaan Py Naam
.
Ya Chakki Chuulhy Ka Jahaan Gulzaar Ho Tamaam.....'*SA*'
.

Wahan Sr Jhuka K Kijiye Dandavat Or Salaam
.
Is Waste K Khaas Ye Roti K Hai Muqaam
.
Pahle Inhin Makanon Main Aatii Hai Rotiyan
.
In Rotiyon K Noor Sy Sab Dil Hai Pour Pour
.
Aataa Nahi Hai Chhalni Se Chhan Chhan Gire Hai Noor
.
Pairaa Har Ik Uska Hai Barfi O Moti Choor
.
Hargiz Kisi Tarah Na Bujhe Pait Ka Tanoor
.
Is Aag Ko Magr Ye Bujhati Hai Rotiyan
.
Pocha Kisii Ny Ye Kisi Kamil Faqeer Sy
.
Ye Mehr O Mah Haq Ny Banaye Hai Kahy K
.
Wo Sun K Bola Baba Khuda Tujh Ko Khair Dy
.
Hum To Na Chand Samjhe Na Soraj Hai Jaanty
.
Baba Hamain To Ye Nazar Aati Hai Rotiyan
.
Phir Pocha Us Ny Kaahy Ye Dil Ka Noor Kya
.
Is K Mushahidy Main Hai Khulta Zahoor Kya
.
Wo bola Sun K Tera Gaya Hai Sha'oor Kya
.
Kashf Ul Qulb Or Ye Kashf U Qaboor Kya
.
Jitne Hai Kashf Sab Ye Dikhati Hai Rotiyan.....'*SA*'
.

Roti Jab Aai Pait Main So Qund Ghul Gaye
.
Gulzaar Phulay Akhhon Main Or Aaish Tul Gaye
.
2 , 4 Nivaale Pait Main Jab Aa K Dhul Gaye
.
14 Tabuq K Jitne Thay Sab Bhaid Khul Gaye
.
Ye Kashf Ye Kamaal Dikhati Hai Rotiyan
.
Roti Na Pait Main Hoto Phir Kuch Jatan Na Ho
.
Mele Ki Sair Khawahish E Baag O Chaman Na Ho
.
Bhokay Gareeb Dil Ki Khuda Sy Lagan Na Ho
.
Sach Hi Kaha Kisi Ny K Bhoky Bhajan Na Ho
.
Allah Ki Bhi Yad Dilati Hai Rotiyan
.
Ab Jin K Aage Maal Poye Bhar K Thaaal Hai
.
Pori Bhagat Unhi Ki Wo Saahab K Laal Hai
.
Or Jin K Aage Ruogani Or Shirmaal Hai
.
Aarif Wohi Hai Or Wohi Sahaab Kamaal Hai
.
Paki Pakai Ab Jinhain Aati Hai Rotiyan
.
Kapry Kisi K Laal Hai Roti K Waste
.
Lambe Kisi K Baal Hai Roti K Waste
.

Baandhay Koi Rumaal Hai Roti K Waste....'*SA*'
.
Sab Kashf Or Kamaal Hai Roti K Waste
.
Jitne Hai Roop Sab Ye Dikhati Hai Rotiyan
.
Roti Sy Naachy Piyada Qavayad Dikha Dikhaa
.
Asavaar Naachay Ghoray Ko Kavaa Laga Laga
.
Ghungharu Ko Baandhy Paik Bhi Phirata Hai Nachata
.
Or Is K Siva Gour Sy Dekho To Ja Ba Ja
.
So So Tarah K Naach Dikhati Hai Rotiyan
.
Dunya Main Ab Bari Na Kahin Or Na Koi Hai
.
Na Dushmani Va Dosti Na Tund Khoi Hai
.
Koi Kisi Ka Or Kisi Ka Na Koi Hai
.
Sab Koi Hai Usi Ka K Jis Hath Doii Hai
.
Nokar Nafar Gulaam Banati Hai Rotiyan
.
Roti Ka Ab Azal Sy Hamara To Hai Khamiir
.
Rukhi Bhi Roti Haq Main Hamare Hai
.
Shahad O Shir Ya Patli Howay Moti Khamiri Ho Ya Katir
.
Gehun Ju'aar Bajare Ki Jaisi Ho "Nazeer"
.
Hum Ko Sab Tarah Ki Khush Aati Hai Rotiyan.....'*SA*'
.
Poet:-

Nazeer Akber Allahbadi

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki