Sab Jhot Tha Jo Chashm E Haiwaan K Pas Tha

Sab Jhot Tha Jo Chashm E Haiwaan K Pas Tha

Aab E Baqa Faqt Lab E Jaan K Pas Tha

Jeete Rahe Hum Ap Say Milne Ki Aas Pas

Kya Husn Aik Jhotay Say Paimaan K Pas Tha

Mazloom Panchiyon Ki Tawazo K Waste

Aik Dil Fareef Baagh Bhi Zindaan K Pas Tha

Aik Din To Admi Ko Wo Daita Khuli Majaal

Par Itna Hosla Kahaan Yazdaan K Pas Tha

Phr Bhi Adab Ki Had Say Main Agay Na Barh Saka

Go Mera Hath Us K Garaiban K Pas Tha

Kya Bay Nazeer Cheez Hoi Kis Jaga Naseeb

Dil Ka Qarar Zulf E Parishaan K Pas Tha

Tehzeeb E Kainat Ka Ilzam Kis Ko Dain

Dunya Ka Intizam To Insan K Pas Tha

Dunya K Sari Hashmat O Dolat K Bawajod

Tha Aik Khuda Ka Naam Jo Insan K Pas Tha

Huk'kam Ny Wahan Sy Bhi Mujhko Utha Diya

Baitha Howa Main Yar K Darbaan K Pas Tha

Ab Bhi Gila Kare Mera Mehman To Kya Kahon

Mera Tamam Ghr Mere Mehman K Pas Tha

Jo Phol Tha Wo Meri Pohnch Main Na Tha Adam

Jo Khaar Tha Wo Meri Rag E Jaan K Pas Tha...'*SA*'

.
Type By.....-*
.-._.-,

'-._.Sarfraz Ahmad...-*
.
Poet
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Say Ada Kya Hoga