Saqi K Gaisoun Ki Hawa Kha Raha Hon Main

Saqi K Gaisoun Ki Hawa Kha Raha Hon Main
.
Or Is Hawa K Saath Kaheen Ja Raha Hon Main
.
Khat K Siwa Wajod Do Alam Tha Bay Nishaan
.
Is Mehveet Say Tera Khat Parhta Raha Hon Main
.
Nikla Tha Us Haseen K Ta'aaqub Main Bay Khabr
.
Ab Tak Is Nashay Main Chal Ja Raha Hon Main
.
Jhoti Tasal'liyon Ka Bhi Ab Itna Qehet Nahi
.
Aay Roz E Mehshr Tujh Pay Yaqeen La Raha Hon Main
.
Is Simt Khainch Lai Thi Dil Ki Tarap Mujhe
.
Barhum Na Ho Thehrta Nahi Ja Raha Hon Main
.
Pehle Main Na'saahon K Sitam Ka Shikaar Tha
.
Ab Apni Jaan Pay Ap Ghazab Dha Raha Hon Main
.
Jata Hun Bazm E Mahshr Main Is Be Dil K Sath
.
Jaise Kisi Raqeeb K Ghar Ja Raha Hon Main
.
Dair O Haram Ki Gird Boht Door Reh Gai
.
Shayad K Maikaday K Qareeb Aa Raha Hon Main
.
Dil Torr Kr Chale Bhi Gaye Wo "Adam" Magr
.
Un K Salook Par Abhi Lehra Raha Hon Main...*SA*
-
-
Type By...-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad..-*
-
Poet
Abdul Hameed Adam
Book

Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki