Sitaron K Agay Jo Abadiyaan Hai

Sitaron K Agay Jo Abadiyaan Hai
.
Teri Zulf Ki Gumshuda Wadiyaan Hai
.
Zamana Bhi Kya Ronqon Ki Jaga Hai
.
Kahin Rona Dhona Kahin Shadiyan Hai
.
Teri Kakalain Hi Nahi Sabz Paryaan
.
Meri Arzo Main Bhi Shehzadiyaan Hai
.
Bari Shay Hai Wabastagi 2 Dilon Ki
.
Ye Pabandiyaan Hi To Azaadiyan Hai
.
Jahan Qadr Hai Kuch Na Kuch Admi Ki
.
Wo Kya Qabil E Qadr Abadiyan Hai
.
Ghareebon Sy Kya Kaam Asaishon Ka
.
Wo Onchay Gharaano Ki Shehzadiyaan Hai
.
"Adam" Sorton Ki Chamak Par Na Jana
.
Ye Sab Ankh Ki Fitna Ijadiyaan Hai....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Chara E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki