Ye Aik Do Din Jo Nadani K Din Hai

Ye Aik Do Din Jo Nadani K Din Hai
Yahi Khushyon Ki Tagyani K Din Hai
.
Jawani, Husn, Masti, Rang, Ronaq
Pari Zadon Ki Sultani K Din Hai
.
Abhi Apni Hifazat Kya Karon Main
Abhi Teri Nigaihbani K Din Hai
.
Dil O Jaan Chahain To Hukam Kijiay
Ye Din Cheezon Ki Arzaani K Din Hai
.
"Adam" Shams O Qamr Ko Kon Pochay
Siyah Zulfon Ki Tabani K Din Hai....'*SA*'
-
-
Type By.....-*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad...-*
-
Poet:-
Abdul Hameed Adam
Book

Chara E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki