Zindagi Main Wo Haseen Is Sadgi Say Aa Gaya

Zindagi Main Wo Haseen Is Sadgi Say Aa Gaya
.
Zindagi K Raston Par Chandni Barsa Gaya
.
Shaam K Bholay Hoay K Baab Main Kya Hukam Hai
.
Subah Ka Bhola Howa Agar Shaam Ko Ghr Aa Gaya
.
Khair Iradi Tour Par Sachai Roshan Ho Gai
.
Aaj Meri Baat Ko Wo Aap Hi Dohra Gaya
.
Meri Barbadi Bare Ashkhas Ki Marhoon Hai
.
Jo Bhi Aaya Bay Takal'luf Kuch Karam Farma Gaya
.
Waqt Hai Kuch Ghour Farma Lijiay Is Cheez Par
.
Ap Par Gar Mere Mar Jane Ka Ilzam Aa Gaya
.
Bulbalo Kis Soch Main Baithay Ko Itne Mutma'in
.
Akhri Gouncha Bhi Ab To Baagh Ka Murjha Gaya
.
Meri Or Uski Nigahon Ka Tasadum Kuch Na Pocho
.
Bay Khudi Main Aaine Say Aaina Takra Gaya
.
Hai Jibil'lat Mukhtalif Dunya Main Har Insan Ki
.
Aik Nay Tameer Ki Doja Amarat Dha Gaya
.
Aqal Wale Bhi "Adam" Kya Sar Phiray Insan Hai
.
Sochtay Rahte Hai K Har Dam Kya Mila Or Kya Gaya..*SA*
-
Type By...*
.-._.-,
'-._.Sarfraz Ahmad..-*
-
Poet

Abdul Hameed Adam
Book
Charah E Dard

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki