Sochti Thi

Poetess
Rabia Basri
.
Type By
*-.SA-Ki-JAN.-*
-
-
Sochti Thi..*
-
-
Us Say Bichar K Je Na Saakon Gi..*
-
-
Mar Jaaon Gi..*
-
-
Wo Awaaz Na Sun Pai To
Or Kya Sun Paaon Gi..*
-
-
Uska Saath Na Mil Paya To
Je Kaise Paaon Gi..*
-
-
Wo Chehra Na Daikh Saki To
Roshi Kaise Paaon Gi..*
-
-
Uski Sama'at Na Pohnchi To
Naaye Lafz Kahan Say Laaongi..*
-
-
Sochti Thi
Us Say Bichr Kr Kaise Reh Paaon Gi..*
-
-
Khud Ko Kaise Behlaon Gi..*
-
-
Lekin Daikho..*
-
-
Us Say Door Hoay Mujhko
Kitne Mosam Beet Gaye Hai..*
-
-
Wo Chehra Ab Door Hai Mujh Say
Wo Alfaz Nahi Milte..*
-
-
Lekin Phr Bhi..*
-
-
Ankhon Ki Beenai Salamat Ab Bhi Hai..*
-
-
Lafzo Ka Ik Bara Zakhera Ab Bhi Hai..*
-
-
Ab Bhi Sanson Ka Wohi Tasalsul
Waqfy Waqfy Say Jari Hai..*
-
-
Ab Bhi Banti Sanwarti Hon
Ab Bhi Hasti Gaati Hon.....'*SA*'
.

Ab Bhi Umda Kapray Pehn K..*
-
-
Sab Sy Milne Jati Hon..*
-
-
Ab Bhi Tanhai Main..*
-
-
Milan K Nagmay Gaati Hon..*
-
-
Ab Bhi Sab Kuch Chal Hi Raha Hai..*
-
-
Ab Bhi Jewan Guzar Raha Hai..*
-
-
Lekin Kya Ik Larki Jo Mere Andar Basti Thi..*
-
-
Teri Madad Say..*
-
-
Maine Usko Maar Diya Hai....'*SA*'
.
Book
Ankhain Bhigona Nahi
Page

39, 40, 41

Comments

Popular posts from this blog

Aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha.Larki nakar ke chali jati thi koi jawab nahi daiti thi larka bohat ghamzada rahta tha or har roz larki ko daikhar yahi jumla kahta tha.Aye parda nashen parda utha meri mohabt qabol kar jalwa dikha.Phr 3sre din larke nay kaha aye parda nasheen parda utha meri muhabt qabol kar jalwa dikha agar aj to nay aj jalwa na dikhaya may khud khushi kar lon ga.Jb 4th day larki ko wo manchala larka nahi mila to us nay logo say pocha.Logo nay kaha us nay to tairi khatir jaan day di phr larki us larke ki qabar par jati hai or kahti hai.Aye may gumnam ashiq aai hon tairi mazar par lay rukh say naqaab utha diya ji bhar ke dedar kar.To us qabr say awaz aai.Ya khuda ye kaisa tera insaf hai?.Aj may parde may hon or wo benaqaab hai....!.Typed by*__SA-k-Jan__*

Allah Hai Bus Pyar Hi Pyar

Pahly Uski Khushboo Khud Par Taari Ki