Posts

Showing posts with the label Poet Ahmad Faraz

Jis tarha koi kahe . Tere shahar say jab rakht e safar bandh lia . Dar o dewar pay hasrat ki nazar kya karte . Chand kajlaai hoi sham ki dahleez pay tha . Us ghari bhi tere mahjor safar kya karte . Dil thaher jane ko kahta tha magar kya karte . Hum ne jab wadi e gurbat may kadam rakha tha . Jis tarha yaad e watan aaye thay samjhane ko . Kuch is tarha ki kaifiyat e jaan aj bhi hai . Jis tarha koi qayamat ho guzar jane ko . Jis tarha koi kahe phr say palat aane ko.......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++..+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Qurbat nahi to shiddat e hijran zaror ho janaa say koi silsala jaan zaror ho . Hum aise wahshi ki tawazoh kay waste har ghr may ik zara sa biyan zaror ho . Noo wardan e modarsa ishq kay liay dars e wafa ka qaida asaan zaror ho . To multafat agar hai to har dard ki dawa yah kya zaror hai kah meri jaan zaror hai . Jaisa bhi tera hal hai aye dil tere liay lazim nahi kah woh bhi pareshan zaror thay . Aao jab uski bazm main saz e sukhan liay mazrab e gham ki zad pay rag e jaan zaror ho . Qurbat boht aziz hai uski magar . +++FaRaZ+++ . Jee chahta hai sohbat e yaara zaror ho.....! . Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Ridaey zakhm har gul peerhun pahne howay hai jise daikho wohi chup ka kafan pahne howay hai . Wohi sach bolne wala hamara dost daikho gale main tooq, paon main rasan pahne howe hai . Andheri or akaili raat dil or yaadain ya jugnu jungle ka peerhun pahne howe hai . Riha ho bhi chuke sab hum qafs kab kay magar dil wohi wahshi ab bhi zanjeer e kayhiin pahne howe hai . Suna hai aisa taaifa hai ahl e dil ka jo dewana nahi dewana pan pahne howe hai . +++fArAz+++ . Us shahar may kis ko dikhaon zakhm apne yahan to har koi mujh sa badan pahne howe hai.......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Wahshat thi magar chak libada nahi tha yun zakhm numai ka irada nahi tha . Khalaat k liay qemat e jaan yun bhi boht thi phr itna dil awaiz libada nahi tha . Hum marhabah kahte tere har sitam par . Sach baat kah dil itna koshada nahi tha . Hum khon may nahlayan gay teri gali main or to kah sar e baam sitara bhi nahi tha . Yaaro koi taqeer karo tum kah wo hum se na khush tha magar itna ziada nahi tha . Akhir to gul ho gaye soraj say mosafir or main to chirag e sar juda bhi nahi tha . Pagal hon FARAZ aj jo rahh daikh rahe ho . Jab k us say mulaqat ka irada bhi nahi tha.........! . Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Hum bhi shair thay kabhi jaan e sukhan yaad nahi tujh ko bhole hai to dildari fun yaad nahi . Dil say kul mahvay takallum thay to malom howa koi kakul, koi lab, koi dahan yad nahi . Aaqal k shahar may aya hai to yun gum hai janon labb e goya ko bhi bay sakhta pan yad nahi . Awwal awwal to ma thay wakif e adab e kafs or ab hamain rasm o rah e ahl e chaman yaad nahi . Har ko nok o turkish ki dukan pochta hai kisi gahak ko magar apna badan yaad nahi . Waqt kis dahshat e faramoshi may lay aya hai ab tera nam kabhi khakim badan yad nahi . Ya bhi kya kam hai gareeb ul watni may kah "FARAZ" Hum ko bay mahri arbab e watan yad nahi.......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++..+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Rone say malal ghat gaya hai badal tha baras k chhat gaya hai . Ab dosh pay sar nahi to goya ik bojh sa dil se hat gaya hai . Ya khalwat e jan may kon aya hai har chez ulat pulat gaya hai . Kya maal e ghanimat tha maira shahar q lashkaro main batt gya hai . Ab dil main +FARAZ+ kon aye dunya say ya shahar kaat gaya hai......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Wo zakhm e intazar ki lazzat bhi lay gaya . Ab nama barr ki rah na daikha karen gaye hum . Wo kis tarha mila tha juda kaise hogaya . Socha tha ya sawal na socha karen gaye hum . Aye zindagi jab us say wafa kar na saki to . Phr to bata tujh say wafa kya karen gaye hum......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Jahan k shor say ghabra gaye kya musafir ghr ko wapis aa gaye kya . Ya thi itni kari taza mosafat porane humsafar yaa aa gaye kya . Yahan kuch ashna si bastiyan theen jaziron ko samander tha gaye kya . Meri gardan may bahain daal di hai tum apne ap say ukta gaye kya . Nahi aya maira jan e baharan darakhto k shagofay aa gaye kya . Yahan meela gaya hai qatilon ka +FARAZ+ Us shahar may tanha gaye kya........? . Book Pas E Andaz Mosam +..++..+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Jab molaqat bay irada thi us main asodgi ziada thi . Na tawaqqo, na intazar, na ranj subah hijran na sham e wada thi . Na takaluf, na ahtihat, na zu'aam dosti ki zuban sada thi . Jab bhi chaha kah gungunao usay shairy paish paa fatada thi . Lal say lab chirag c ankhain naak saton e jabeen kashada tha . Hiddat e jaan say rang tanba sa sagar afzor moj e bada thi . Zalf ko hum saa'ri ka da'waa tha phr bhi khush qeemti ziada tha . Kush to paikar main thi baala ki kashish kuch wo kafir tang mizaj ziada tha . Apsara thi na hoor thi na pari dilbari may magar ziadi thi . Jitni bay mahar, maharban utni jitni dushwar utni sada thi . Aik zamana jise kahe qatil mere shaane pay sar nihada thi . Ya gazak deen us gzl ki hai jis may hum say wafa ziada thi . Wo bhi kya din the jab FARAZ US say ishq kam, ashiqi ziada thi.......! . Book Pas E Andaz Mosam +..++.+ Poet Ahmad Faraz +..++..+ Typed by *__SA-k-Jan__*

Ya dil jo tujh ko bazahir bhola chuka bhi hai . Kabhi kabhi tere bare main sochta bhi hai . Guzar sake to guzar ja shab e firaq, kah hum . Thake howe bhi hai barson ka raat jaga bhi hai . Dil malal na rakh us say to kah wo zalim . Sare jahan ka sahi, tera bhi hai . Wohi hawain jo hamain lay gai theen meri gali . Inhi ki zad pay tera torrah o kaaba bhi hai . Ganeem ka magar us ka nahin hai andaza . Jo bay super tann e tanha hai kafila bhi . Faraz shahar gzl may qadeem salook say rakh . Kah us may Meer sa,GALIB sa khush nowa bhi hai......! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Shaguft e gul ki sada main main rang e chaman main aao . Koi bhi rut ho bahaar k peerhun main aao . Koi safar ho tumhi ko manzil samjh k jaaon . Koi masafat ho tum meri hi lagan main aao . Kabhi to aisa bhi ho kah logon ki baat sun kar . Meri taraf tum riqebon ki jalan main aao . Wo jab garor or naaz say tum chale gaye thay . Kabhi usi tamkinat, usi bankpun main aao . Ya q hamaisha meri talab hi tumhain sada day . Kabhi to khud bhi sapurdagi ki thakan may aao . Hazar muflis sahi magar hum sakhi balaa k . Kabhi to tum ahl e dard ki anjuman main aao . Hum ahl e dil hai hamari aqleem harf ki hai . Kabhi to jan e sukhan diyaar e sukhan may aao . Kabhi kabhi doriyon say koi pukarta hai . +++FarAZ+++ Jani Faraz piyare, watan main aao......! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Is dar pay thikana kabhi us rah main daira . Hum khana badoshon ka yahi sham sawaira . Bay mahri dunya ka gila hai tere lab par . Ab kaise btao tujhay, may bhi nahi tera . Do char kadam hai yah kiran hum safri ki . Phr aage wahi shahar e judai ka andhaira . Hai Jo tang kho to zamane k liay hain . Aye jaan kabhi hum ne tera farman nahi phaira . Ik mushk e gubar or kaf e moj e hawa par . Chaha tha samaita hai na chaha to bakhaira . Mil jaye jo gurbat main FARAZ ab wahi hum dum . Jo jaye jahan sham wahin hai basaira.......! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Thaka gaya hai musalsal safar udasi ka . Or ab bhi hai mere shaane pay sar udasi ka . Wo kon kemiya gar tha kah jo bikhar gaya . Tere gulab say chahre pay zar udasi ka . Mere wajod k khilwat kaade may koi to tha . Jo rakh gaya hai diya taak par udasi ka . Main tujh say kaise kahon yaar e maharban mere . Kah to ilaag nahi meri har udasi ka . Ya ab jo aag ka darya mere wajod main hai . Yahi to pahle pahel tha shar udasi ka . Na jane aaj kahan kho gaya wo sitare e shaam . Wo maira dost,mera humsafar udasi ka . FARAZ deeda pur aab main na dhondha usay . Kah dil ki tah main kahin hai gahar udasi ka.......! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Jaan say ishq or jahan say gureez . Dosto say kya kahan say gureez . Ibtada ki tere kaside say . Ab yah mushkil karo kahan say gureez . Main wahan hon jahan jahan tum ho . Tum karo gaye kahan kahan say gureez . Kar gaya mere tere kisse may . Dastan e goh, yahan wahan say gureez . Jang haari na thi abhi . +++FArAZ+++ . Kar gaye dost darmiyan say gureez......! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Ghairat e ishq salamat thi aa'na zinda thi . Wo bhi kya din thay kah rah o rasm e wafa zinda thi . Qais ko dosh na do rakhyo na FARHAD ka naam . Inhi logon say muhabt ki ada zinda thi . Shahar e bemar k har kocha o dar o baam par . Hum bhi maray thay kah jab khalkat e Khuda zinda thi . Bhuj gai shamain to dam tor gay jhonke bhi . Jis tarha zahr e raqabt say hawa zinda thi . Yaad e ayyam kay sahra e muhabt main . +++FArAZ+++ . Jars e kafila dil ki sada zinda thi.....! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Wo dushman e jan, jaan say piyara bhi kabhi tha . Ab kis say kahin koi hamara bhi kabhi tha . Utra hai ragon main to dil katt sa gaya hai . Yah zahr e judai kah gawara bhi kabhi tha . Har da'saat jahan abr e gureezan ki tarha hai . Ya shahar kabhi shahar hamara bhi kabhi tha . Titli k taaqub main koi phool sa bacha . Aisa hi koi khawab hamara bhi kabhi tha . Ab agle zamane kay mile log to pochain . Jo hal hamara hai,tumhara bhi kabhi tha . Har bazm main ham nay aase afsurda hi dekha . Kahte hai FARAZ anjumam aara bhi kabhi tha.....! . Book Pas E Andaz Mosam *._.* Poet Ahmad Faraz *._.* Typed by *__SA-k-Jan__*

Lagi hai aag, par koi bhi ghar nahi . Abhi tak jalne walon ko khabr nahin . Ajab naqsha hai shahar e bay iman ka . Kisi ka sas kisi kay dosh nahin . Ya baygana rawi hai hum rahon ki . Musafir ko musafir ki khabr nahi . Hawa ki saltanat main kya bharosa . Chirag e jaan udhar ho idhar nahi . Parindon ko rihai mil chali hai . Agar ho jurrat e parwaz, par nahi..........! . Book Pas e Andaz Mosam . Poet Ahmad Faraz . Typed by .-*-..-*-..-*-..-*-. |*__SA-k-Jan__*| *._.**._.**._.*._.*

++HUM NA kaHTE thE++ . Amaan mango na in say dil fagaran hum na kahte thay . Ganeem e shahar hai chabuk sawara hum na kahte thay . Fiza nay to faqt malboos cheenay thay darakhton say . Saleebain bhi tarashay gi barahan hum na kahte thay . Tars jaye gi hum say bay nawaon ko tairi gali . Hmare bad is shahr e nigara hum na kahte thay . Jahan mela laga hai ka nasohoon ghum gusaron ka . Wahin say koocha bay aitbaran hum na kahte thay . Pas e zindan koi hoga sar e maqtal koi hoga . Bane gi is tarha tasveer e yaara hum na kahte thay . Faraz ahl e hawas nay shahr e dushman hum ko thahraya . Khata ya thi madhe shahar yaara hum na kahte thay........! . Book Pas e Andaz Mosam . Poet Ahmad Faraz . Typed by .-*-..-*-..-*-..-*-. |*__SA-k-Jan__*| *._.**._.**._.*._.*

Na sah saka jab mosafiton k azaab sare . To kar gaye kooch mairi ankhon say khawab sare . Biyaz e dil pay gzl ki sorat raqam kiay hai . Tere karam bhi, tere sitam bhi, hisab sare . Bahar aai to tum bhi aao idhar say guzro . Kah daikhna chahte hai tum ko gulab sare . Ya saniha hai k waizoon say ulaj pare hum . Ya waqiya hai kah pee rahe thay sharab sare . Bhol hoi hum gunahgaron nay zid na ki . Sameet kar lay gaya na'saah khawab sare . FARAZ kis ne mere muqaddar main likh diay hai . Ik darya ki dosti main sairab sare...........! . Book Pas e andaz Mosam . Poet Ahmad Faraz . Typed by .-*-..-*-..-*-..-*-. |*__SA-k-Jan__*| *._.**._.**._.*._.*

Zindagi say yahi gila hai mujhe to boht dair say Mila Hai Mujhay . Mohabt say koi chaal to chal haar jane hosla hai mujhe . Dil dharakta nahi tapakta hai kal jo khoahish thi ab nahi hai mujhe . Hum safar chahiay, hajoom nahi aik musafir bhi lagta hai kafila mujhe . Kohkin ho, kah Qais ho ya "FaRaZ" sab main aik hi shakhs mila hai mujhe...........! . Book Pas e andaz Mosam . Poet Ahmad Faraz . . Typed by ---------------------- |*__S-Ak-Jan__*| ----------------------