Posts

Showing posts with the label Poet Meer Taqi Meer

Howa Bulbul Gulgasht K Din Hai Khizaan Ka

Howa Bulbul Gulgasht K Din Hai Khizaan Ka....> . Urta Hai Abhi Rang Gul E Baagh E Jahan Ka....> . Hai Mujh Ko Yaqeen Tujh Main Wafa Aisi Jafa Par....> . Gar Chaak Barabar Howay Is Mere Gumaan Ka....> . Seene Main Mere Aag Lagi Mere Sukhan Say....> . Joon Shamma Jala Hoa Hon Apni Zubaan Ka....> . Araam Adam Main Na Tha Hasti Main Nahi Chain....> . Maloom Nahi "Meer" Irada Hai Kahan Ka....'*'SA'*' . Type By,,,,,,-'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Kya Pochte Ho Kya Kahain Miyaan Dil Ny Bi Kya Kaam Kiya

Kya Pochte Ho Kya Kahain Miyaan Dil Ny Bi Kya Kaam Kiya . Ishq Kiya Nakam Raha Akhir Ko Kam Tamam Kiya Ajz Kya So Is Maqsad Ny Qadar Hamari Ye Kuch Ki Taiwri Charhai Ghusa Kiya Jb Hum Ny Jhuk K Salam Kiya Kahne Ki Bi Likhne Ki Bi Hum To Kasam Kha Baithay Thy Akhir Dil Ki Betabi Sy Khat Bhaija Paigham Kiya Ishq Ki Tohmat Jb Na Hoi Thi Kaahayko Aisi Shohrat Thi Shahr Main Ab Ruswa Hai Yani Badnami Sy Kam Kiya Raigistan Main Ja K Rahain Ya Sangistan Main Hum Jogi Raat Hoi Jis Jaga Humko Hum Ny Waheen Basram Kiya Khat O Kitabat Likhna Usko Tark Kiya Tha Is Liay Hasrat Sy Tapka Laho Ab Jo Kuch Iqram Kiya Uska To Shahd O Shukar Hai Zouq Hum Nakamo K Logon Main Laikin Poch Kaha Ye Lutf By Hangam Kiya "Meer" Jo Unho Ny To Idhar Hum Sy Koi Bat Kahi Lutf Kiya Ahsan Kiya Inam Kiya Akraam Kiya....'*'SA'*' . Type By,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet Meer Taqi Meer

Faqeerana Aaye, Sada Kar Chale

Image
Faqeerana Aaye, Sada Kar Chale . Miyaan Tum Khush Raho Hum Dua Kar Chale . Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kahte Thay Hum . So Is Ahd Ko Ab Wafa Kar Chale . Shifa Apni Taqdeer Main Hi Na Thi . K Muqadder Tak To Dawa Kar Chale . Wo Kya Cheez Hai Aah Jis K Liay . Har Ik Cheez Say Dil Utha Kar Chale . Boht Arzo Thi Gali Ki Teri . So Yahan Say Lahoo Main Nahaa Kar Chale . Dikhai Day Yun K Bay-Khud Kia . Hamain Ap Say Bhi Juda Kar Chale . Jabeen Sajda Karte Hi Karte Gai . Haq E Bandagi Hum Ada Kar Chale . Parustish Ki Yahan K Aay Bott Tujhe . Nazar Main Saab'hon Ki Khuda Kar Chale . Jharay Phol Jis Rang Gulbun Say Yun . Chamun Main Jahan K Hum Aa Kar Chale . Na Daikha Ghum E Dostaaan Shukar Hai . Hum'hee Dagh Apna Dikha Kar Chale . Kahain Kya Jo Pochay Koi hum Say "Meer" . Jahan Main Tum Aaye Thay Kya Kar Chale,,,'*'SA'*' . " " "Type By" " " "*-.SA-Ki-JAN.-*" . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Idher Say Abr Uth Kar Joo Gaya Hai

Image
Idher Say Abr Uth Kar Joo Gaya Hai . Hamari Khaak Par Bhi Roo Gaya Hai . Masaa'ib Or Thay Par Dil Ka Jaana . Ajab Ik Sanihaa Hoo Gaya Hai . Maqaa'mir Khana E Aafaq Wo Hai . K jo Aaya Hai Yahan Kuch Khoo Gaya Hai . Kuch Aao K Zulf K Kocha Main Dar-Paish . Mizaaj Apna Idher Ab Too Gaya Hai Hai . Sirhaanay "Meer" K Aahistaa Bolo . Abhi Tak Rotay Rotay So Gaya Hai,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Hasti Apni Habaab Hi Si Hai

Image
Hasti Apni Habaab Hi Si Hai . Ye Numaaish Saraab Ki Si Hai . Naaz-Ki Us K Lab Ki Kya Kahiay . Pankhari Ik Gulab Ki Si Hai . Chashm E Dil Khol Jis Bhi Aalam Par . Yahan Ki Oqaat Kharab Ki Si Hai . Baar Baar Us K Dar Pay Jata Hon . Halat Apni Aztiraab Si Hai . Nuqta Khaal Say Tera Abro . Bai'yat Ik Intikhab Ki Si Hai . Main Jo Bola,,,'*' . Kaha K Ye Awaaazzz . Usi Kharab Ki Si Hai . Atish E Ghum Main Dil Bhoo'naa Shaayad . Dair Say Boo Kaabaab Ki Si Hai . Daikhiay Abr Ki Tarha Ab Kah . Meri Chashm Pur-Aaab Ki Si Hai . "Meer" In Neem Baaz Ankhon Main . Masti Sharaab Ki Si Hai,,,'*'SA'* . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Hai Harf E Khama Dil Zada Husn E Qabol Ka

Image
Poet Meer Taqi Meer . *---...___NAAT___...---* . Type By,,,,,,-* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Hai Harf E Khama Dil Zada Husn E Qabol Ka . Yani Khayal Sar Main Hai Naat E Rasool (S.A.W.W) ka . Rah Pairvi Main Uski K Ghaam E Nukhsat Main . Zahir Asar Hai Maqsad E Dil K Asool Ka . Wo Maqtaday Khulq E Jahan Ab Nahi Hoa . Pahle Hi Tha Imaam Nafoos O Aqool Ka . Sorma Kya Hai WuZ'Oo Pay Chashm E Ahl E Quddas . Ahmad (S.A.W.W) ki Rah Guzar Ki Khak Or Dhol Ka . Hai Muttahid Nabi (S.A.W.W) O Ali (R.A) ki Zaat . Ya Harf Mut'abbir Nahi Har Bowal'fozol Ka . Dho Monh Hazaar Pani Say Soo Baar Parh Daroor . Tab Naam Lay To Us Chamansitan K Phol Ka . Hasil Hai "Meer" Dosti Ahle Bait Agar . To Ghum Hai Kya Nijaat K Apni Hasool Ka.....* . End . Book kalam E Meer