Posts

Showing posts with the label Poetess Fakhra Batool

Judaa'iyon Ka Mukaam'mal Hisab Likh Dalo

Image
Judaa'yon Ka Mukam'mal Hisab . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Judaa'iyon Ka Mukaam'mal Hisab Likh Dalo . Phr Is K Bad Tum In Par Kitab Likh Dalo . Mohab'baton Main Di'aa Kis Tarha Bana Soraj . Ye Jan'na Hai To Pathar Pay Khwab Likh Dalo . Udasiyo Ka Agar Shahr Hi Basana Hai . U'jaar Lamho Say Kuch Intikhab Likh Dalo . Kisi Ki Ankho K Bujhte Di'aay Jalane Ko . Kisi Ki Palko Say Liptay Azab Likh Dalo . Suna Hai Tum Say Kaa'lamm Ka Purana Nata Hai . Haqee'qato Main Hai Madghum Saraab Likh Dalo........*.SA.* . Poetess Fakhra Batool . Book Bhula Dia Na

Ri'wayato Ki Main Makhsos Had Na Daikh Saki

Image
Ri'wayato Ki Main Makhsos Had . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Ri'wayato Ki Main Makhsos Had Na Daikh Saki . Wo Bekhabr Thi K Apna Ki Kad Na Daikh Saki . Boht Kareeb Say Daikha Tha Tere Chahre Ko . Is Liay Main Tere Khad O Khaal Na Daikh Saki . Wo Bolta Raha Or Maine Un Suni Kar Di . Thi Usk Lahje Main Kya Shadd O Madd Na Daikh Saki . Main Shab Say Subah Talak Dhundti Rahi Taa'beerain . Kiay Hai Kisne Mere Khwab Radd Na Daikh Saki . Main Daad Daiti Rahi Teer E Neem Kash Ko Batool . Mera To Apna Hai Dil, Us Ki Zid Na Daikh Saki........*.SA.* . Poetess Fakhra Batool . Book Bhula Dia Na

Ab Shahr E Jan Baachane Ki Khawhish Na Rahi

Image
Khawahish Na Rahi . Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Ab Shahr E Jan Baachane Ki Khawhish Na Rahi . Phr Say Aana Gawane Ki Khawahish Na Rahi . Kitne Ajeeb Mor Pay Bichre Hai Ab K Hum . Ab To Kisi Bahane Ki Khawahish Na Rahi . Muth'hi Say Is Tarha Say Muqaddar Phisal Gaya . Jhuk Kar Usay Uthane Ki Khawahish Na Rahi . Soraj Ko Badilo Nay Panaho Main Jab Lia . Phr Inko Ghr Lutane Ki Khawahish Na Rahi . Ab To Palat K Aanay Ki Khawahish Ko Maar Do . Ab Tum Ko Azmaa'nay Ki Khwahish Na Rahi . Ab K Khuda Say Bhi Nahi Manga Usay Batool . Ab Sarr Kahin Jhukane Ki Khawahish Na Rahi......*.SA.* . Poetess Fakhra Batool . Book Bhula Dia Na

Kaha! Mohabt Ka Is Jahan Main Kamal Daikha

Image
Poetesss Fakhra Batool . *--..__Salam__..--* . Type By,,,-* *-,,,Sarfraz Ahmad,,,-* . Kaha! Mohabt Ka Is Jahan Main Kamal Daikha . Jawab Aya K Tum Nay Zahraa Ka Lal Daikha . Khaleel Ankho Ko Band Kar K Larazz Uthay Thay . Hussain To Nay Jigar Say Naiza Nikal Daikha . Sabhi Ki Khawahishain Thi Apne Mola Pay Jaan Waaray . Tere Bahtar Ka Hum Nay Jazba Misal Daikha . Kaha K Yousif Say Barh K Koi Haseen Paya . Kaha! Ali Ka To Us Say Barh K Jamal Daikha . Hussain Fatah Hai Karbala Ka Luta K Sab Kuch . Yazeed Zillat Bana Hai Ro Ba Zawal Daikha . Hussain Ka Wo Sagheer Piyasa Gaya Jahan Say . Is Khata Par Furrat Ko Pur Maalal Daikha . Ali Ki Beti ! Kasam Khuda Ki Tab Yaad Aai . Kisi K Lab Par Jo Chadro Ka Sawal Daikha.........* . END . Book Bhula Dia Na

Kaha Usne Zamana Dard Hai Aur Tum Dawa Jese

Image
Kaha Usne Zamana Dard  TaYpEd By TLASH25 Kaha Usne Zamana Dard Hai Aur Tum Dawa Jese Kaha Usne Zamana Dard Hai Aur Tum Dawa Jese. Laga Tum Se Muhbat Hai Mujhe Usne Kaha Jese Talab Ki Usne Jab Mujhse Muhbat Ki Wazahat To Bataya Dasht Ke Honton Pe Barish Ki Dua Jese. Kaho-E-Gul Kabhi Khushbu Ka Tum Ne Aks Dekha Hai Kaha Qos-E-Qaza Ke Saare Rangon Ki Sada Jese. Suno Khuwahish Ki Lehron Par Sambhalna Kyun Huwa Mushkil Bataya Paniyon Par Khuwab Ki Rakhi Bana Jese. Suno Ankhon Hi Ankhon Ka Bayan Kesa Laga Tumko Laga Phoolon Se Sargoshi Si Karti Hai Saba Jese......! Poet By Fakhara Batool eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Lahu Lahu Hai Gulabon Ki Dastaan DeKho

Image
Lahu Lahu Hai TaYpEd By TLASH25 Lahu Lahu Hai Gulabon Ki Dastaan DeKho Huwe Hein Qatal Bahaaron Mein Gulistan Dekho. Soo-E-Falak To Sada Dekhte Hi Rehte Ho Kabi To Palkon Pe Bikhri Ye Kehkashaan DeKho Kisi Ne Dil Lagi Dil Ki Lagi Kisi Ne Kaha Kisi Ke Jazbon Ka Ho Bi Gaya Zeya DeKho. Shajar Shajar Ko Kahaani Tumhari Batla Di Saba Ko Samjha Tha Tum Ne Hi Razdaan DeKho Hamari Aankhon Ki Barsat Dekhte Kiya Ho Utar Gayi Hain Lahu Mein Jo Bijliyan DeKho. Nishan Unhi Ke Hain Baqi Kitab-E-Hasti Mein Zamana Karta Raha Jin Ko Be Nishan Dekho. Faseel-E-Jism Hi Chalni To Sar Salamat Hi Ajeeb Rooh Mein Chalti Hain Aandhiyan DeKho Batool Jis Ke Liye Zindagi Luta Di Hai Wo Shakhs Aaj Bi Ham Se Hi Badgumaan Dekho...! Poet By Fakhara Batool. eND. Follow Tlash25 Send To 8001