Posts

Koi phol dhop ki pattiyon may hare riban se bandha hua . Wo gzl ka lahja naya naya na kaha hua na suna hoa . Kise le gayi hai abhi hawa wo warq tha dil ki kitab ka . Kahin ansuon se mita hua kahin ansuon say likha hua . Kai meel rait ko kaat kar koi moj phol khila hai . Koi ped pyas say mar raha hai nadi kay pas khara hoa . Wahi khat ke jis pay jagah jagah do mahakte honthon kay chand thay . Kisi bhule bisre se taaq par tah.e.gard hoga daba hoa . Mujhay hadson nay saja saja kay bahut hassen bana diya . Maira dil bhi jaise dulhan ka haath ho manhdiyon sa racha hua . Wahi shahar hai wahi rasta hai wahi ghar hai or wahi loon hai bhi . Magar is dareeche se punchna do darakht anaar ka kya hoa . Mere sath jugnu hai hamsafar magar is shahar ki bisaat kya . Ya chirag koi chirag hai, na jala hoa na bujha hoa....! . Poet Bashir Badar . Typed By *__SA-k-Jan__*
Siyahiyn ke bane harf harf dhote hai . Ye log raat may kaghaz kahan bhigote hai . Kisi ki raah may dahliz par diye na rakho . Kiwad sukhi hui lakriyo ke hote hai . Chirag pani may mujon say pochte honge . Wo kon log hai jo kashtiyan bhigote hai . Unhi may khelne ati hai bereya roohein . Wo ghar jo laal hari daftiyon ke hote hai . Qadeem qasbon may jaisa sukon hota hai . Thake thakaye hamare buzurg sote hai . Chamakti hai kain sadiyon may ansuon ki zamin . Ghazal ke shair kahan roz roz hote hai....! . Poet Bashir Badar . Typed By *__SA-k-Jan__*
Subha hoti hai chupa lo hamko raat bhar chahne walo humko . Ham haqeeqat hai nazar ate hai . Daastano may chupa lo humko . Dil na paa jaye kahin shab ka raaz subah say pahle utha lo humko . Hum zamane kay sataye hai bohat . Apne seene say laga lo humko . Waqt kay honth hamain chou lain gay . Ankhain bolain gaa lo humko . Kal khareedaron kay pahre honge aj ki raat chura lo hamko...! . Poet Bashir Badar . Typed By *__SA-k-Jan__*
Ansuon say dhuli khushki ki tarha rishte hote hai shairi ki tarha . Ham farishta ban kay aayengain warna ham say mil jao aadmi ki tarha . Barf seene ki jaise jaise ghuli ankhain khulti gai kali ki tarha . Jab kabhi badlon main ghata hai chand lagta hai admi ki tarha hai . Kisi roz kisi dareeche say samne aao roshi ki tarha . Sab nazar kay fareeb hai warna koi hota nahi kisi ki tarha . Khubsorat udas khofzada woh bhi hai 20wen sadi ki tarha . Janta hun ka eik din mujhko wo badal daiga dayri ki tarha....! . Poet Bashir Badar . Typed By *__SA-k-Jan__*
So khuloos baaton may sab karam khyalon may . Bas zara wafa kam hai taire shahar walo may . Pahli baar nazro say chand boltay daikha . Ham jawaab kya daite kho gaye sawalon may . Raat tairi yaadon nay dil ko is tarha chaira . Jaise koi chutki li ho galon may . Yun kisi ki ankhon may sabah tak thay ham . Jis tarha rahe shabnam phol ki peyaliyon may . Meri ankh kay taare ab na daikh paingay . Raat kay musafir thay kho gay ujalo may . Poet Bashir Badar . Typed By *__SA-k-Jan__*
Zinda Rahen To. TaYpEd By *SHANI_M_B* Zinda Rahen To Kia Hai Jo Mar Jain To Kia. Duniya Main Khamoshi Se Guzar Jain Hum To Kia. Hasti He Apni Kia Hai Zamane K Samne. Ek Khuwaab Hain Jahan Main Bikhar Jain Hum To Kia. Ab Kon Muntazir Hai Hamare Liye Wahan. Shaam Aa Gai Hai Laut K Ghar Jain Hum To Kia. Dil Ki Khalish To Sath Rahe Gi Tamam Umar Munir. Dariya E Gham K Par Utar Jain Hum To Kia. Poet. Munir Niazi. END**S Follow *SHANI_M_B* Send To 8001
Zindagi K Akhri Safar Par Jab TaYpEd by *SHANI_M_B* Zindagi K Akhri Safar Par Jab main Jaon ga. Sufaid Kapron Main Bohat Dilkash Nazar Aaon Ga. Sub Log Ro Rahe Hon Ge Magar Main Tere Leiye Thora Muskraon Ga. Sufaid Kapron main Bnhat Dilkash Nazar Aonga. TERI Rahon se Jab Guzre Janaza Mera. Do Phool Mere Paas Rakh Dena. Tumhari Qasam Main Mehak Sa Jaon ga. Sufaid Kapron main Dilkash Nazar Aaon Ga. Tum Aik Bar Apna Chehra Zaror Dikha Dena. Main Hanste Howe Qabar Main Utar Jaon Ga. Sufaid Kapron Main Bohat Dilkash Nazar Aonga. Tanha.Dil Follow *SHANI_M_B* Send to 8001