Posts
TxT by *_TaNhA_* Surkhi Badan me Rang e Wafa ki thi Kuch Dino.. Taseer ye bhi Uski Dua ki thi Kuch Dino.. Dhoondy sy Us k Naqsh Ubharty thy or bhi.. Haalat Tamam Karb o Balaa ki thi Kuch Dino.. Kaghaz py tha Likha hua har Harf, Lab Kushaa.. Tehreer, Jism, Sot o Adaa ki thi Kuch Dino.. Shaakhon py Konplon ko Zubaanen Ataa hui.. Ye Dilbari bhi Dast e Sabaa ki thi Kuch Dino.. Dil Sozi e Wafa ko Shakebaai ki Ataa.. Shaaistagi ye Rang e Hinaa ki thi Kuch Dino.. Ab hy Kadooraton ka Khula Dasht or Main.. Chahat Tamam Teri Raza ki thi Kuch Dino.....!
- Get link
- X
- Other Apps
TxT by *_TaNhA_* Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath Poet=Ahmad Faraz
- Get link
- X
- Other Apps
Txt by *_TaNha_* Wafa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqi Na Lia Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia Khush Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia Tumharay Bad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangamay Kisi Ne Sang Uthaya Kisi Ne Meena Bhi Na Lia Faraz Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia Poet=Ahmed Faraz
- Get link
- X
- Other Apps
TxT by *_TaNhA_* Ab Koi Sodaa Koi Junoon Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi Meri Zabaan Ki Luknat Se Badguman Na Ho Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi Faraz Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi Poet=Ahmed Faraz
- Get link
- X
- Other Apps
TxT by *_TaNhA_* Inhi Khush_Gumaaniyon Me Kahen Jaan Sy Na Jao, Wo Jo Chaara_Gar Nahi Hai Usy Zakhm Na Dhikhao, Ye Udasiyon K Mousam, Kahen Rayegaan Na Jaye, Kisi Zakhm Ko Kuredo, Kisi Dard Ko Jagao, Wo Kahaniyan Adhori, Jo Na Ho Sakein Gi Pori, Unhein Main Bhi Kiyon Sunaon, Unhein Tum Bhi Kiyon Sunao, Mere Hamsafar Purane, Mere Ab Bhi Muntazir Hai, Tumhein Saath Chhorna Hai, To Abhi Sy Chhor Jao, Ye Judaaiyon K Rassty, Bari Door Tak Gaye Hain, Jo Gaya Wo Phir Na Lauta, Meri Baat Maan Jao, Kisi Bewafa Ki Khatir, Ye Junon "Faraz" Kab Tak, Jo Tumhein Bhula Chuka Hai, Usy Tum Bhi Bhol Jao,,!!
- Get link
- X
- Other Apps
TxT by *_TaNhA_* Kar Subha-0-Sham Wird, HasinOn k Naam ka. Farman Hai Ye, ISHQ Aleeh-E-Salam Ka. ParwardiGar Maan K Apne Zameer Ko. JhaGra Chuka Dia Hai, RAHEEM 0ur RAAM Ka. Hum Par Khula Hai JaB Se Un Ankhon Ka Mekada. Us Din Se Naam Tak Na Lia Hum Ne Jaam Ka. Hum Aaj Tere Hath Ko Bosa Na De Saky. Moqa Ganwa Dia Hai Tere Ehtram Ka. Wo Surmai LiBas Me Aaya Hai Samne. Chhaya Hua Nazar Pe Dhundlaka Hai Sham Ka. Thay Jo Gunah Raqeeb K Sub Kharch Ho Gay. Rehta Nahi Hai Jaib Me, Paisa Haram Ka. LogOn Ki Zid, QATEEL K Shehr Uska Chhor Den. Aur Hum Ne Kar Lia Hai Irada Qayam Ka. Poet=Qateel Shifai
- Get link
- X
- Other Apps