Posts

*-._Naat E Rasool_.-*

Image
*-._Naat E Rasool_.-* *-..___(S.A.W.W)___..-* . Type By,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa . Us Waqt Ka Aalam Kya Hoga . Jab Zulf Ka Zikr Hai Quran Main . Rukhsar Ka Aalam Kya Hoga . Sun Sun K Sahaba Ki Batain . Kuffar Musalman Hote Thay . Ye Shaan Hai Khidmat Kaaron Ki . Sardar (S.A.W.W) Ka Aalam Kya Hoga . Abu Bakkar O Umar Usman O Ali (R.A) . Or Saare Sahaba Doo'zano . Jab Baithay Hungay Majlis Main . Sardar (S.A.W.W) Ka Aalam Kya Hoga . Aik Simt Ali (R.A) Aik Simt Umar (R.A) . Saddique (R.A) Idhar Usmam (R.A) Udhar . In Jagmag Jagmag Taaro Main . Mahtaab Ka Aalam Kya Hoga . Jab Daai Haleema (R.A) ki Goodi . Anwaar Khuda Say Roshan Thi . Us Waqt Haleema Daai Ka . Ghar Baar Ka Aalam Kya Hoga . Kahte Hai Arab K Zarro Par . Anwaar Ki Barish Hoti Hai . Aay Najm Na Jane Taiba Ki . Gulzar Ka Aalam Kya Hoga,,,,,,* . *-...____eNd____...-*

Na Kahin Say Door Hai Manzilen

Image
Type By,,,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Na Kahin Say Door Hai Manzilen Na Koi Kareeb Ki Baat Hai . Jissay Chahe Usse Nawaz Day Ye Dar E Habib Ki Baat Hai . Jissay Chaha Dar Pay Bula Liya Jissay Chaha Apna Bana Liya . Ye Bare Karam K Hai Faisley Ye Bare Naseeb Ki Baat Hai . Wo Khuda Nahi Bakhuda Nahi Wo Magar Khuda Say Juda Nahi . Woh Hai Kya Magar Woh Hai Kya Nahi Ye Mohib Habib Ki Baat Hai,,,,,,,,,,,,*SA* . *-.___eNd___.-*

Kuch Ishq Tha

Image
TaYpEd By TLASH25 Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi So Mein Ne Jeevan Waar Diya. Mein Kaisa Zinda Aadmi Tha Ek Shakhs Ne Mujh Ko Maar Diya. Ye Saja Sajaya Ghar Saqi Meri Zaat Nahin Mera Haal Nahin Aai Kash Kabhi Tum Jan Sako Jo Us Sukh Ne Aazar Diya. Mein Khuli Huwi Ek Sachai Mujhe Jan'ne Wale Jante Hain. Mein Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aur Kin Logon Se Pyar Kiya. Wo Ishq Buhat Mushkil Tha Magar Aasan Na Tha Yon Jeena Bhi. Us Ishq Ne Zinda Rahne Ka Mujhe Zarf Diya Pindar Diya, Ek Sabz Shakh Gulaab Ki Tha Ek Dunya Apne Pyar Ki Tha. Wo Ek Bahaar Jo Aai Nahin Us Ke Lye Sab Kuch Haar Diya. Mein Rota Hon Aur Aasman Se Tare Tot'te Dekhta Hon Un Logon Par Jin Logon Ne Mere Logon Ko Aazar Diya. Wo Yaar Hon Ya Mehboob Mere Ya Kabhi Kabhi Milne Wale Ek Lazat Sab Ke Milne Mein Wo Zakham Diya Ya Pyaar Diya....! Poet By Ubaidulah Aleem eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Ab Wo Khushi Ka

Image
TaYpEd By TLASH25 Ab Wo Khushi Ka Waqt Gaya, Dil Ke Sakoon Ka Waqt Gaya. Sath Sath Chalna Tha Har Qadam, Wo Chahaton Ka Waqt Gaya. Meri Muhbat Thi Sachi Tujhe Aitbar Kahan, Par Ab Muhbaton Ka Wo Waqt Gaya. Dil Mein Chubhti Hain Zamane Ki Batein, Zamane Ko Haqeeqat Batane Ka Waqt Gaya. Mein Kanton Pe Chal Raha Hon Tanha "Ameer" Tere Sath Phoolon Pe Chalne Ka Waqt Gaya....! Poet By Sayed Ameer Ali Shah. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Uski Ankhon

Image
TaYpEd By TLASH25 Uski Ankhon Mein Machlte Huwe Darya Likhna, Dil Ko Selab Ke Mosam Mein Bi Piyasa Likhna. Uski Zulfon Mein Andheron Ko Bikharne Dena Uske Chehre Ko Magar Chand Ka Tukra Likhna. Gholna Dhoop Mein Khud Uske Badan Ki Chandni Uske Saaye Ko Kasam Kha Ke Sunahra Likhna. Subah Ki Pehli Kiran Uski Muskurahat Ki Zokat Sham Ko Bakhshish-E-Yar Ka Darya Likhna. Shab Ko Angraai Se Jab Uska Badan Tot'ta Hai Mohsin Urooj Par Apne Muqadar Ka Sitara Likhna....! Poet By Mohsin Naqvi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Shikast Kha Ke Bi

Image
TaYpEd By TLASH25 Shikast Kha Ke Bi Surkhuroh Sa Lagta Hon Ke Dosti Ka Maza Dushmanon Ki Chal Mein Tha. Kharish Thi Mere Badan Par Ke Wahim Ankhon Mein Tamaam Bhaid To Tere Aaine Ke Bal Mein Tha. Mein Tote Huwe Pate Sanbhalta Kab Tak Ke Zard Zehar To Pairon Ki Dhaal Dhaal Mein Tha. Tera Khuloos Parakhne Ka Waqt Hi Na Mila Mujhe Ke Mein Aseer Teri Nafraton Ke Jal Mein Tha. Kab Usne Tot Ke Chaha Tha Yon Mujhe Mohsin Ye Mojiza Bi Huwa Ab Ke Mah-O-Sal Mein Tha...! Poet By Mohsin Naqvi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Sukh Ka Mosam

Image
TaYpEd By TLASH25 Sukh Ka Mosam Khayal-O-Khuwab Huwa Saans Lena Bi Ab To Aazab Huwa. Ankhon Ankhon Parha Karo Jazbe Chehra Chehra Khuli Kitaab Huwa. Roshni Use Aks Ki Dekho Aaina Shab Ko Aaftab Huwa. Adl-E-Parwar Kabi Hisaab To Kar Zulm Kis Kis Pe Behisaab Huwa. Kon Mojoon Mein Gholta Hai Lahon Surkhuroh Kis Lye Chunaab Huwa. Ab Ke Hijran Ki Dhop Mein Mohsin Rang Us Ka Bi Kuch Kharab Huwa...! Poet By Mohsin Naqvi. eND. Follow Tlash25 Send To 8001