Posts

Chal Chal K Ruke Ruk Ruk K Chale Jo Dil Ne Kaha Hum Ne Wo Kya

Image
Chal Chal K Ruke Ruk Ruk K Chale Jo Dil Ne Kaha Hum Ne Wo Kya Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Chal Chal K Ruke Ruk Ruk K Chale Jo Dil Ne Kaha Hum Ne Wo Kya . Phal Phool Rakhe Un Charno Par Jo Saraj K Ghar Jate Hai . Ya Baat Kabhi Utri Na Gale Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya . Mosam K Deen o Mazhab Ko Hum Ne Apna Mazhab Jana . Pholon K Badan Palkon Say Mile Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya . Roshan Roshan Shakhon Pay Khile Jab Sham Dhale Taqoon Main Jale . Moti Chamke Palkon K Tale Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya . Matki Makhhan Ghaghar Chan Chan Rim Jhim Rim Jhim Barse Sawan . Sundar Sundar Godoon Main Pale Jo Dil Ne Kaha Wo Hum Ne Kya...............! . Poet Bashir Badar

Chirag Le K Tere Shahar Say Guzarna Hai

Chirag Le K Tere Shahar Say Guzarna Hai Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Chirag Le K Tere Shahar Say Guzarna Hai . Ya Tajarba Hamain Bar Bar Karna Hai . Main Wo Pahaar Hun Jo Cut Raha Hon Pani Say . Ya Dil Nahi Hai Mere Ansuon Ka jharna Hai . Mere Aziz Main Utri Nadi Ka Lahja Hun . Mujhe Charhe Howe Darya Ko Paar Karna Hai . Boht Kadeem Hun Laikin Ya Mera Wirsa Hai . Isi Kadeem Gali Say Mujhe Guzarna Hai . Tumhain Khabar Nahi Hai Soraj Hai Aks Mera . Tamam Din Ka Mujhe Intazar Karna Hai . Wo Aik Shakhs Kah Jis Ko Gzl Bhi Kahte Hai . Usi K Nam pay Jeena Usi pay Marna Hai.......! . Book Khuda Hafiz . Poet Bashir Badar

Khwab In Ankhon Se Ab Koi Churaa Kar Le Jaye

Khwab In Ankhon Se Ab Koi Churaa Kar Le Jaye Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Khwab In Ankhon Se Ab Koi Churaa Kar Le Jaye . Qabr k Sookhe Howe Phol Utha Kar Lay Jaye . Muntazir phool Main Khushbo Ki Tarah Hun Kab Se . Koi Jhonken Ki Tarah Aye Uraa Kar Le Jaye . Ye Bhi Pani Hai Magar Ankhon Ka Aisa Pani . Jo Hatheli Pe Rachi Mehndi Ko Uraa Kar Lay Jaye . Main Muhbbt Se Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko . Zindagi Apni Kitabon Main Dabaa Kar Le Jaye . Khaak Insaaf Hai Nabeenaa Butoon K Agee . Raat Thali Main Chiragon Ko Sajaa Kar Le Jaye...,..! . Poet Bashir Badar

Sadiyon Say Jagi Ankhon Ko Ek Bar Sulane Aajao

Sadiyon Say Jagi Ankhon Ko Ek Bar Sulane Aajao Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Sadiyon Say Jagi Ankhon Ko Ek Bar Sulane Aajao . Mana K Tum Ko Piyar Nahi Nafrat Hi Jatane Aa Jao . Jis Mor Pe Hum Ko Chor Gaye Hum Baithe Ab Tak Soch Rahe . Kya Bhol Hui Q Juda Howay Bas Ya Samjhane Aa Jao . Har Lamha Teri Furkat Main Hum Tarapte Rahe Hum Taraste Rahe . Meri Mano Tum is Dil Ko Kuch Pal Bahlane Aajao . Sadiyon Se Jagi Ankhon Ko Ek Bar Sulaany Aajao...-*,,SA,,*

Galyun Se Meri Tum Ne Guzar Kar Nahi Daikha

Galyun Se Meri Tum Ne Guzar Kar Nahi Daikha Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Galyun Se Meri Tum Ne Guzar Kar Nahi Daikha . Gham Ya Hai K Khushyon Nay Mera Ghar Nahi Daikha . Mehroom Hai Wo Pyar Ki Dolat Se Abhi Tak . Dil Jis Ne Kahin Laga Kar Nahi Daikha . Gumnaam Hai Wo Phol Gulistan e Jahan Main . Khushbo Ki Tarha Jis Ne Bikhar Kar Nahi Daikha . Aaine Faqat Uski Tasalli K Liay hai . Dulhan Ki Tarha Jis Ne Sanwar Kar Nahi Daikha . Ye Sach Hai Mera Qatal Sar e Aam Hua Hai . Kis Ka Tha Meri Peeth Par Khanjar Nahi Daikha . Dil Cheer K Nikle Hai Ye Ash'aar Hamare . Afson Inhen Ap Ne Parh Kar Nahi Daikha.......! . Poet Bashir Badar

Mohabt Ka Guman Hota Boht Hai K Ab Lafz Bhi Ruswa Boht Hai

Mohabt Ka Guman Hota Boht Hai K Ab Lafz Bhi Ruswa Boht Hai Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Mohabt Ka Guman Hota Boht Hai K Ab Lafz Bhi Ruswa Boht Hai . Udasi Ka Sabab Main Kya Btaon Gali Kochon Main Sannata Boht Hai . Na Milne Ki Kasam Kha K Bhi Main Ne . Tujhe Har Rah Main Dhounda Boht Hai . Ya Ankhain Or Kiya Dekhain Kisi Ko . In Ankhon Ne Tujhe Daikha Boht Hai . Najane Q bachaa Rakhe Hai Ansoo . Abhi Shayad Mujhe Rona Boht Hai . Tujhe Maloom To Hoga Mere Hamdam . Tujhe Ek Shakhs Ne Chaha Boht Hai.......! . Poet Bashir Badar

Tum Nay Bhi Kam Naseeb Py Kuch Kam Nigah Ki

Image
Tum Nay Bhi Kam Naseeb Py Kuch Kam Nigah Ki Type By,,,,,,-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,-* . Tum Nay Bhi Kam Naseeb Py Kuch Kam Nigah Ki . Usne To Khair Apni Zindagi Tabah Ki . Hum Dono Dunya Dar Nahi Hai Is Liay . Sorat Koi Nazar Nahi Ati Nibah Ki . Pather Samjh K Tum Jise Tukra K Chal Diay . Is Dil Pe Thi Nigah Boht Mehr O Mah Ki . Uski Nazr Main Payar Gunah e Azem Hai . Tofeeq Day Khuda Unhain Aese Gunah Ki . Halat Bewafai Pe Majbor Kar Gaye . Warna Use Bhi Chah Boht Thi Nibah Ki . Apne Ko Rashk e Meer Samjhte hai Badar G . Gumrah Kar Gai Hai Sada Wah Wah Ki........! . Poet Bashir Badar