Posts

Doundh Rahi Hon Tera Thanda Saaya Maa'aye Ni

Image
Doundh Rahi Hon Tera Thanda Saaya Maa'aye Ni . Sath Samander Paar Bhi Hai Aik Sehra Maa'aye Ni . Q Kar Tu Nay Bhaij Dia Khairiron K Sath Mujhe . Ruk Jati To Aa Sakta Tha Ranjhaa Maa'aye Ni . Koi Nahi Samjhane Wala Us Tofaani Ko . Roz Hi Larki Maangta Hai Ik Darya Maa'aye Ni . Bichho Jaisi Ankhon Walo Ko Samjhaye Kon . Teri Dua K Haalay Main Hai Chahra Maa'aye Ni . Jis Ungli Ko Tu Nay Thama Wo Hai Zahr Bhari . Tu Nay Bhi Is Bare Main Sochaa Maa'aye Ni . Jab Bhi Mere Aansoo Nikle Un K Ponchny Ko . Hath Tera Tasveer Say Bahir Aaya Maa'aye Ni . Jis Mosam Ki Khatir Mera Chahra Zard Hoa . Kab Tak Daikhongi Us Ka Rasta Maa'aye Ni . Ghar Main Rah Kar Bhi Hum Ghar Ka Hissa Na Ban Sake . Tera Mera Dukh Hai Kitna Sanjha Maa'aye Ni . Daikh "Qamer" Ny Kya Paya Hai Sik'ay Jor K Bhi . Uski Goo'luck Main Bhi Sanp Aa Baitha Maa'aye Ni,,,'*'SA'*' . ""'Type By,,,'*""' ''*-.SA-Ki-JAN.-*'

Kon Hai Soraj Kon Hai Saaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch

Image
Kon Hai Soraj Kon Hai Saaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Kis Nay Pahle Daman Choraya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Jis Ki Khatir Sahil Sahil Seepiyaan Chuntay Beet Gai . Q Wo Moti Haath Na Aaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Kis Ko Kitna Naam Mila Or Kis Ko Kya Ilzaam Mila . Kis Nay Kiska Waqt Ganwaya Main Bhi Sochon To Bhh Soch . Kis Nay Kitni Aas Bandhaai Kis Nay Kitni Jaan Churaai . Kis Nay Kitna Saath Nibhaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Hum Jo Taa'alluq K Bare Main Sochne Par Majbor Hoay . Jeewan Main Ye Din Q Aaya Main Bhi Sochon To Bhi Soch . Uski Batain Sun'nay Wale Tere Jaise Lagte Thay . Kisko "Qamer" Nay Haal Sunaya Main Bhi Sochon Tu Bhi Soch,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Faqeerana Aaye, Sada Kar Chale

Image
Faqeerana Aaye, Sada Kar Chale . Miyaan Tum Khush Raho Hum Dua Kar Chale . Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kahte Thay Hum . So Is Ahd Ko Ab Wafa Kar Chale . Shifa Apni Taqdeer Main Hi Na Thi . K Muqadder Tak To Dawa Kar Chale . Wo Kya Cheez Hai Aah Jis K Liay . Har Ik Cheez Say Dil Utha Kar Chale . Boht Arzo Thi Gali Ki Teri . So Yahan Say Lahoo Main Nahaa Kar Chale . Dikhai Day Yun K Bay-Khud Kia . Hamain Ap Say Bhi Juda Kar Chale . Jabeen Sajda Karte Hi Karte Gai . Haq E Bandagi Hum Ada Kar Chale . Parustish Ki Yahan K Aay Bott Tujhe . Nazar Main Saab'hon Ki Khuda Kar Chale . Jharay Phol Jis Rang Gulbun Say Yun . Chamun Main Jahan K Hum Aa Kar Chale . Na Daikha Ghum E Dostaaan Shukar Hai . Hum'hee Dagh Apna Dikha Kar Chale . Kahain Kya Jo Pochay Koi hum Say "Meer" . Jahan Main Tum Aaye Thay Kya Kar Chale,,,'*'SA'*' . " " "Type By" " " "*-.SA-Ki-JAN.-*" . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Idher Say Abr Uth Kar Joo Gaya Hai

Image
Idher Say Abr Uth Kar Joo Gaya Hai . Hamari Khaak Par Bhi Roo Gaya Hai . Masaa'ib Or Thay Par Dil Ka Jaana . Ajab Ik Sanihaa Hoo Gaya Hai . Maqaa'mir Khana E Aafaq Wo Hai . K jo Aaya Hai Yahan Kuch Khoo Gaya Hai . Kuch Aao K Zulf K Kocha Main Dar-Paish . Mizaaj Apna Idher Ab Too Gaya Hai Hai . Sirhaanay "Meer" K Aahistaa Bolo . Abhi Tak Rotay Rotay So Gaya Hai,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Hasti Apni Habaab Hi Si Hai

Image
Hasti Apni Habaab Hi Si Hai . Ye Numaaish Saraab Ki Si Hai . Naaz-Ki Us K Lab Ki Kya Kahiay . Pankhari Ik Gulab Ki Si Hai . Chashm E Dil Khol Jis Bhi Aalam Par . Yahan Ki Oqaat Kharab Ki Si Hai . Baar Baar Us K Dar Pay Jata Hon . Halat Apni Aztiraab Si Hai . Nuqta Khaal Say Tera Abro . Bai'yat Ik Intikhab Ki Si Hai . Main Jo Bola,,,'*' . Kaha K Ye Awaaazzz . Usi Kharab Ki Si Hai . Atish E Ghum Main Dil Bhoo'naa Shaayad . Dair Say Boo Kaabaab Ki Si Hai . Daikhiay Abr Ki Tarha Ab Kah . Meri Chashm Pur-Aaab Ki Si Hai . "Meer" In Neem Baaz Ankhon Main . Masti Sharaab Ki Si Hai,,,'*'SA'* . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Meer Taqi Meer Book Kalam E Meer

Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti

Image
Apni Zid Say Kisi Toor Hatt Nahi Sakti . Kisi Ki Ho K Bhi Dunya Say Katt Nahi Sakti . Mera Ye Dukh Hai K Sahil Pay Aik Laher K Sath . Main Aa Gai Thi Magar Ab Palat Nahi Sakti . Ye Log Q Mujhe Taqseem Karna Chahte Hai . Main Tott Sakti Hon Hisson Main Batt Nahi Sakti . Bandhay Hoay Hai Mere Haath Peeth Par Lekin . Tujhe Gila Hai Main Tujh Say Lipat Nahi Sakti . "Qamer" Main Usko Bolaaon Sahailiyun Main Kya . Usay To Daikh K Ungli Bhi Katt Nahi Sakti,,,'*'SA'*' . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poetess Rehana Qamer Book Tum Ko Shayad Na Aitbar Aaye

Aay Ishq Tu Nay Aksar Qoumo Ko Khaa Kar Chora

Image
Aay Ishq Tu Nay Aksar Qoumo Ko Khaa Kar Chora . Jis Ghar Say Sar Utha Isko Bitha Kar Chora . Raa'yun K Raaj Cheenay Shaahon K Taj Cheenay . Gardun Kashon Ko Aksar Nichaa Dikha Kar Chora . Farhad Ki Li Tu Nay Jaan Sheeree . Or Qais Ko Tu Nay Majnu Bana K Chora . Yaqoob Say Bashar Ko Di Tu Nay Na-Sabouri . Yousif Say Par'saa Par Bohtaan Laga Kar Chora . Aql O Khurd Nay Tujh Say Kuch Chup-Kalish Jahan Ki . Aql O Khurd Ka Tu Nay Khaaka Uraa K Chora . Afsaana Tera Rangeen Rooh-Daad Teri Dil-Kash . Shair O Sukhan Ka Tu Nay Jaado Bana K Chora . Aik Dastarus Say Teri "Haali" Bacha Tha . Us K Bhi Dil Pay Aakhir Charkhaa Laga K Chora . Type By,,,,,,'*' .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad,,,'*' . Poet Altaaf Hussain Haali Book Intikhab E Haali