Posts

Labon pe narm tabassum

Image
Labon pe narm tabassum racha ke dhul jayen *._.* Khuda kare mere ansu kisi k kam ayen *._.* Jo ibtada.e.safar main diya bujha baithe *._.* Wo badnaseeb kisi ka surag kya payen *._.* Talash.e.husn kahan le chali khuda jane *._.* Umang thi k faqat zindagi ko apnayen *._.* ula rahe hai ufaq par jo zard ru tile *._.* Kaho to ham bhi fasane ke raz ho jayen *._.* Na kar khuda ke liay bar bar zikr.e.bahisht *._.* Ham asman ka mukarrar fareb kyon khayen * ._.* Tamam maikada sunsan mai' gusar udas *._.* Labon ko khol kar kuch sochti hai manayen.......! *._.* PoetAhmad Nadeem Qasmi *._.* Typed by*__SA-k-Jan__*

*._.*AnKhAiN*._.*Koi chahra hua roshan na ujagar ankhain*._.*Aina dekh rahi thi meri pather ankhain*._.*Le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah*._.*Aj phr dhund rahi hai wahi manzar ankhain*._.*Phut niklin to kai shahar.e.tamanna dube*._.*Ek qatre ko tarasti hui banjar ankhain*._.*Us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai*._.*Apne halkon se nikal aai hai bahar ankhain*._.*Tu nigahon ki zuban khub samjhta hoga*._.*Teri janib to utha karti hai aksar ankhain*._.*Log marte na dar.o.bam se takra ke kabhi*._.*Dekh lete jo "KAMAL" uski samandar ankhain......!*._.*PoetAhmad Kamal.Typed by*__SA-k-Jan__*

Image

Tum or fareeb khao bayan.e.raqib se*._.*Tum say to kam gila hai ziyada nasib say*._.*Goya tumhari yad hi mera ilaj hai*._.*Hota hai pahron zikr tumhara tabib se*._.*Barbad.e.dil ka akhri sarmaya thi umid*._.*Wo bhi to tum ne chin liya mujh garib se*._.*Dhundla chali nigah dam.e.wapsi hai ab*._.*Aa pas aa k daikh lu tujh ko qarib se....!*._.*PoetAqa Hashir*._.*Typed by*__SA-k-Jan__*

Image

Mar hi dal mujhe chashm.e.ada say pahle.Apni manzil ko puhnch jaon qaza say pahle.Ik nazar daikh lun aa jao qaza se pahle.Tum se milne ki tamanna hai khuda say pahle.Hashr k roz may poncha ga khuda se pahle.Tu ne roka nahi q mujhko khata se pahle.Aye meri mout thahar unko zara ane do.Zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle.Hath pohnchay bhi na thay zulf tak "MOMIN".Hathkari dal di zalim ne khata say pahle.....! .PoetMomin khan Momin.Typed by*__SA-k-Jan__*

Image

Yun na mil mujh se khafa ho jaise*._.*Sath chal mauj-e-saba ho jaise*._.*Log yun dekh kar hans dete hai*._.*Tu mujhe bhol gaya ho jaise*._.*Ishq ko shirk ki had tak na barha*._.*Yun na mil humse khuda ho jaise*._.*Mout bhi aai to is naz k sath mujh par ehsan kiya ho jaise*._.*Aise anjan bane baithe ho tum ko kuch bhi na pata ho jaise*._.*Hichkiyan raat ko ati hi rahin*._.*To ne phr yad kiya ho jaise*._.*Zindagi beet rahi hai "Danish" *._.*Ek jurm saza ho jaise.......!*._.*PoetEhsan Danish*._.*Typed by*__SA-k-Jan__*

Image

Sirf ashk-o-tabassum main uljhe rahe*._.*Hamne dekha nahin zindagi ki taraf*._.*Raat dhalte jab un ka khayal aa gaya*._.*Tik taki bandh gai chandni ki taraf*._.*Kon sa jurm hai, kya sitam ho gaya*._.*Ankh agar uth gai, ap hi ki taraf*._.*Jane wo multafit hon kidhar bazm main*._.*Ansoun taraf ya hansi ki taraf....!*._.*PoetEhsan Danish*._.*Typed by*__SA-k-Jan__*

Image

Nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga>*.:.*>Hayat mout se takra gai to kya hoga>*.:.*>Na'ii sahar k bahut log muntazir hai magar>*.:.*>Na'ii sahar bhi kajla gai to kya hoga>*.:.*>Na rahnumaon ki majalis main lay chalo mujh ko>*.:.*>Main be adab hon hansi aa gai to kya hoga>*.:.*>Gham-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan>*.:.*>Magar jo mout bhi sharma gai to ky hoga>*.:.*>Shabab-e-lala-o-gul ko pukarne walo>*.:.*>Khizan sirisht bahar aa hai to kya hoga>*.:.*>Ye fikar k is asudagi k dhoke main>*.:.*>Teri khudi ko bhi mout aa gai to kya hoga>*.:.*>Khushi chini hai to gham ka bhi aitamad na kar>*.:.*>Jo rooh gham se bhi ukta gai to kya hoga.....! *._.*PoetEhsan Danish*._.*Typed by*__SA-k-Jan__*

Image