Posts

Al-Vidah Al-Vidah  "+,,  aye Noor-E-Khudaa Aye Maah-E-Ramzan Al-Vidah...>  "+,,  Tou Ho Rahaa Hai Hum Say Judaa Aye Maah-E-Ramzan Al-Vidah...>  "+,,  Sach To Ye Hai Haq Teraa Hum To Adaa Na Kar Sake.  Pesh Hai Jo Ho Sakaaa. Aye Maah-E-Ramzan Al-Vidah...>  "+,,  Teri Mehmani Mein Agar Hum Say Hui Ho Kotahiyan . Maaf Kar Denaa Humaari Ye Khata Aye Maah-E-Ramzan Al-Vidah...>  "+,,  Zindagi Rahi To Aglay Saal Milengay.  Mar Gaye To Al-Vidah. Al-vidah. Aye Maah-E-Ramzan Al-Vidah........]->  "+,,+"  "+,,+"  Text By Qais

Khosha Kah Bagh E Baharaan

Image
. Type By,,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Khosha Kah Bagh E Bahara Hai Zindagi Apni . Kisi K Gham Say Fareezaan Hai Zindagi Apni . Boht Din Say Paraishan Hai Ap K Gaisu . Boht Din Say Paraishan Hai Apni Zindagi . Chalak Rahe Hai Kaai Hasrato K Paimane . Laho Say Dil K Charagan Hai Apni Zindagi . Gham E Hayat Nay Dale Hai Hath Bahr Bahr Kar . K Bay Watan Ka Garaiban Hai Apni Zindagi . Tera Jahan Hai Kya Aik Aaina Khana . Kah Jis Main Shashdar O Hairan Hai Apni Zindagi . Na Jane Konsa Lamha Chura K Lay Jaye . Mataa E Gardish E Doraa Hai Apni Zindagi . Na Koi Phool Na "Saghar" Na Mahtab Na Tu . Bhuja Hoa Sa Shabastan Hai Apni Zindagi,,,,,,,,*SA* . *-.___eNd___.-* . Book Muhabbat Mustaqil Gham Hai . Poet Saghar Saddiqi . Page 105/106 . Follow Sarfraz.Ahmad.* Send To 8001

Garam Hangama E Kaghaz Hai Yahan

Image
. Type By,,,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Usko Taktay Bhi Nahi Thay Pahle . Hum Bhi Khuddar Thay Kitne Pahle . Usko Daikha To Ye Mahsos Hua . Hum Boht Dor Thay Khud Se Pahle . Dil Nazr Atay Hai Ab Ankho May . Kitne Gahray Thay Chashmay Pahle . Khoay Rahte Hai Ab Uski Dhun May . Jisko Takte Na Thay Pahl Pahle . Humko Pahchan Liya Karte Thay . Ye Tere Shehr K Raste Pahle . Ab Ujalo May Bhatk Jate Hai . Rah Sujhate Thay Andhere Pahle . Rang K Jaal Main Aatay Na Kabhi . Par Se Daikh Jo Laite Pahle . Garam Hangama E Kaghaz Hai Yahan . Be Makak Phol Kahan Thay Pahle . Shahar E Nit Pochta Hai Kon Ho Tum . Log Tum Say Na Thay Tum Say Pahle . Aik Ik Ankh Hai Parto Apna . Ham Kahan Bikhre Thay Itne Pahle . Humne Daikhi Na Thi Dil Ki Kalik . Kitne Roshan Thay Ye Chahre Pahle . "Sham" Sahab Zra Milte Jain . Us Taraf Jaane Say Pahle Pahle,,,,,,,,*SA* . END . Poet Mahmod Sh

*-._Naat E Rasool_.-*

Image
*-._Naat E Rasool_.-* *-..___(S.A.W.W)___..-* . Type By,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa . Us Waqt Ka Aalam Kya Hoga . Jab Zulf Ka Zikr Hai Quran Main . Rukhsar Ka Aalam Kya Hoga . Sun Sun K Sahaba Ki Batain . Kuffar Musalman Hote Thay . Ye Shaan Hai Khidmat Kaaron Ki . Sardar (S.A.W.W) Ka Aalam Kya Hoga . Abu Bakkar O Umar Usman O Ali (R.A) . Or Saare Sahaba Doo'zano . Jab Baithay Hungay Majlis Main . Sardar (S.A.W.W) Ka Aalam Kya Hoga . Aik Simt Ali (R.A) Aik Simt Umar (R.A) . Saddique (R.A) Idhar Usmam (R.A) Udhar . In Jagmag Jagmag Taaro Main . Mahtaab Ka Aalam Kya Hoga . Jab Daai Haleema (R.A) ki Goodi . Anwaar Khuda Say Roshan Thi . Us Waqt Haleema Daai Ka . Ghar Baar Ka Aalam Kya Hoga . Kahte Hai Arab K Zarro Par . Anwaar Ki Barish Hoti Hai . Aay Najm Na Jane Taiba Ki . Gulzar Ka Aalam Kya Hoga,,,,,,* . *-...____eNd____...-*

Na Kahin Say Door Hai Manzilen

Image
Type By,,,,,,,,,* *.__Sarfraz Ahmad__.* . Na Kahin Say Door Hai Manzilen Na Koi Kareeb Ki Baat Hai . Jissay Chahe Usse Nawaz Day Ye Dar E Habib Ki Baat Hai . Jissay Chaha Dar Pay Bula Liya Jissay Chaha Apna Bana Liya . Ye Bare Karam K Hai Faisley Ye Bare Naseeb Ki Baat Hai . Wo Khuda Nahi Bakhuda Nahi Wo Magar Khuda Say Juda Nahi . Woh Hai Kya Magar Woh Hai Kya Nahi Ye Mohib Habib Ki Baat Hai,,,,,,,,,,,,*SA* . *-.___eNd___.-*

Kuch Ishq Tha

Image
TaYpEd By TLASH25 Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi So Mein Ne Jeevan Waar Diya. Mein Kaisa Zinda Aadmi Tha Ek Shakhs Ne Mujh Ko Maar Diya. Ye Saja Sajaya Ghar Saqi Meri Zaat Nahin Mera Haal Nahin Aai Kash Kabhi Tum Jan Sako Jo Us Sukh Ne Aazar Diya. Mein Khuli Huwi Ek Sachai Mujhe Jan'ne Wale Jante Hain. Mein Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aur Kin Logon Se Pyar Kiya. Wo Ishq Buhat Mushkil Tha Magar Aasan Na Tha Yon Jeena Bhi. Us Ishq Ne Zinda Rahne Ka Mujhe Zarf Diya Pindar Diya, Ek Sabz Shakh Gulaab Ki Tha Ek Dunya Apne Pyar Ki Tha. Wo Ek Bahaar Jo Aai Nahin Us Ke Lye Sab Kuch Haar Diya. Mein Rota Hon Aur Aasman Se Tare Tot'te Dekhta Hon Un Logon Par Jin Logon Ne Mere Logon Ko Aazar Diya. Wo Yaar Hon Ya Mehboob Mere Ya Kabhi Kabhi Milne Wale Ek Lazat Sab Ke Milne Mein Wo Zakham Diya Ya Pyaar Diya....! Poet By Ubaidulah Aleem eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Ab Wo Khushi Ka

Image
TaYpEd By TLASH25 Ab Wo Khushi Ka Waqt Gaya, Dil Ke Sakoon Ka Waqt Gaya. Sath Sath Chalna Tha Har Qadam, Wo Chahaton Ka Waqt Gaya. Meri Muhbat Thi Sachi Tujhe Aitbar Kahan, Par Ab Muhbaton Ka Wo Waqt Gaya. Dil Mein Chubhti Hain Zamane Ki Batein, Zamane Ko Haqeeqat Batane Ka Waqt Gaya. Mein Kanton Pe Chal Raha Hon Tanha "Ameer" Tere Sath Phoolon Pe Chalne Ka Waqt Gaya....! Poet By Sayed Ameer Ali Shah. eND. Follow Tlash25 Send To 8001