Posts

Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kiya.

Sun To Sahi TaYpEd By  TLASH25 Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kiya. = Kahti Hai Tujh Se Khalq E Khuda Gaibana Kiya. = Zina Saba Ka Dhondti Hai Apni Musht E Khak. = Bam E Buland Yar Ka Hai Aastana Kiya. = Ati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz E Rooh Ko. = Dekhon To Mot Dhond Rahi Hai Bahana Kiya. = Betab Hai Kamal Hamara Dil E Azim. = Mahman Sare E Jism Ka Ho Ga Rawana Kiya...! = Poet By Atish Haidar Ali. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001
Mein Aur Harf TaYpEd By      TLASH25 Mein Harf E Shikwa Galat Ay Sanam Galat. = Wallah Jhot Hai Ye Khuda Ki Qasam Galat. = Tareef E Hussn Sun K Wo Bole Buhat Baja. = Mazmon E Shoq Parh K Kaha Yak Qalam Galat. = Sun Sun K Arz E Hal Ki Taqreer Bar Bar. = Kahna Kisi Ka Naz Se Wo Dam Ba Dam Galat. = Mashhoor Kis Ka Kahna Hai Jhota Jahan Mein. = Khata Hai Kon Roz Qasam Par Qasam Galat. = Bole Wo Dagh Ap Hain Jhoto K Badshah. = Mashooq Se Shikayat Zor O Sitam Galat. = Horon Se Miliye Khuld Bareen Ko Sudharye. = Dunya Mein Ap Ka Nahi Hone Ka Ghum Galat...! = Poet By Dagh Dehlvi. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ek Silsile Hain Sub Hijar Ki Rutt Bata Gayi.

Ek Se Silsile Hain TaYpEd By      TLASH25 Ek Silsile Hain Sub Hijar Ki Rutt Bata Gayi. = Phir Wahi Subah Aaye Gi Phir Wahi Sham Aa Gayi. = Mere Lahoo Mein Jal Uthey Utne Hi Taaza Dam Chiraag. = Waqt Ki Saazshi Hawa Jitne Diye Bujha Gayi. = Mein Bhi Ba Pas E Dostaan Apne Khilaf Ho Gaya. = Ab Yahi Rasm E Dosti Mujh Ko Bhi Raas Aa Gayi. = Thund Hawa Ke Jashan Mein Log Gaye To They Magar. = Tan Se Koi Qaba Cheeni Sar Se Koi Rida Gayi. = Dil Zadgaan Ke Qaafile Door Nikal Chuke Tamaam. = Un Ki Talash Mein Nigaah Ab Jo Gayi To Kiya Gayi. = Aakhir E Shab Ki Dastaan Aur Karein Bhi Kiya Biyaan. = Ek Hi Aah E Sard Thi Saare Diye Bujha Gayi...! = Poet By Pirzada Qasim. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Hum Se Behal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain.

Hum Se Behal TaYpEd By    TLASH25 Hum Se Behal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Dard Mein Dhal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Saaya E Wasl Kab Se Hai Ap Ka Muntazir Magar. = Hijar Mein Dhal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Apne Khilaaf Fesla Khud Hi Likha Hai Ap Ne. = Hath Bhi Mal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Waqt Ne Arzu Ki Lau Der Huwi Bujha Bhi Di. = Ab Bhi Pighal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Zehmat E Zarbat E Digar Dost Ko Dejiye NahiN. = Gir Ke Sambhal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Dayaravar Hi To Hain Ishq K Raste Tamaam. = Raah Badal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Dasht Ki Sari Ronaqein Khair Se Ghar Mein Hain To. = Kyon Ghar Se Nikal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain. = Apni Talash Ka Safar Khatm Bhi Kejiye. = Kabhi Khuwab Mein Chal Rahe Hain Ap, Ap Buhat Ajeeb Hain..! = Poet By Pirzada Qasim. = Follow Tlash25 Send To 8001

Tumhein Jafa Se Na Yon Baz Aana Chahye Tha.

Tumhein Jafa Se TaYpEd By  TLASH25 Tumhein Jafa Se Na Yon Baz Aana Chahye Tha. = Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahye Tha. = Taweel Rat K Pahlu Mein Kab Se Soi Hai. = Naweed E Subah Tujhe Jag Jana Chahye Tha. = Buhat Qallaq Huwa Herat Gazeeda Tofan Ko. = K Kon Doobe Kinhein Doob Jana Chahye Tha. = Bujhe Chiragon Mein Kitne Hain Jo Jale Hi Nahin. = Sawad E Waqt Inhein Jagmagana Chahye Tha. = Ajab Na Tha K Qafas Sath Le K Urr Jate Tarapna Chahye Tha. = Pharpharana Chahiye Tha. = Ye Meri Har K Kar E Janan Se Hara Magar. = Bicharne Wale Tujhe Yad Aana Chahye Tha. = Taman Umar Ki Asurdagi E Wasl K Bad. = Firaq Aakhiri Dhoka Tha Khana Chahye Tha...! = Poet By Pirzada Qasim. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Khoon Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Huwa.

Khoon Se Jab TaYpEd By  TLASH25 Khoon Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Huwa. = Phir Mujhe De Diya Gaya Ek Diya Bujha Huwa. = Ek Hi Dastan E Shab Ek Hi Silsila To Hai. = Ek Diya Jala Huwa Ek Diya Bujha Huwa. = Mehfil E Rang O Noor Ki Phir Mujhe Yad Aa Gayi. = Phir Mujhe Yad Aa Gaya Ek Diya Bujha Huwa. = Mujh ko Nishat Se Fuzoon Rasm E Wafa Azeez Hai. = Mera Rafiq E Shab Raha Ek Diya Bujha Huwa. = Dard Ki Kainat Mein Mujh Se Bhi Roshni Rahi. = Waise Meri Bisat Kiya Ek Diya Bujha Huwa. = Sab Meri Roshni E Jan Harf E Sukhan Mein Dhal Gayi. = Aur Mein Jaise Rah Gaya Ek Diya Bujha Huwa...! = Poet By Pirzada Qasim. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaaye.

Ek Saza Aur TaYpEd By     TLASH25 Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaaye. = Yani Ab Jurm E Aseere Ki Saza Di Jaaye. = Us Ki Khuwahish Hai K Ab Log Na Roye Na Hanse. = Behisi Waqt Ki Aawaz Bana Di Jaaye. = Dasht E Nadida Ki Tehqeeq Zaroori Hai Magar. = Pahle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaaye. = Sirf Jalna Hi Nahin Ham Ko Bharakna Bhi To Hai. = Ishq Ki Aag Ko Lazim Hai Hawa Di Jaaye. = Sirf Sooraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir. = Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaaye. = Aur Ek Taza Sitam Us Ne Kiya Eejad. = Us Ko Is Baar Zara Khul Ke Dua Di Jaaye...! = Poet By Pirzada Qasim. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001