Posts

Hangama E Ghum Se Tang Aa Kar Izhar E Musarat Kar Bethe.

Hangama E TaYpEd By  TLASH25 Hangama E Ghum Se Tang Aa Kar Izhar E Musarat Kar Bethe. = Mash'hoor Thi Apni Zinda Dili Danista Shararat Kar Bethe. = Koshish To Buhat Ki Hum Ne Magar Paya Na Ghum E Hasti Ka Mafar. = Weerani E Dil Jab Had Se Bari Ghabra K Muhbat Kar Bethe. = Nazron Se Na Karte Pursish E Ghum Khamosh Hi Rahna Bahtar Tha. = Deewano Ko Tum Ne Chher Diya Wallah Qiyamat Kar Bethe. = Har Cheez Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar. = Nafrat Se Na Dekho Dushman Ko Shayad Ye Muhbat Kar Bethe...! = Poet By Shakeel Badayuni = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ankh Se Ankh Milata Hai Koi

Ankh Se Ankh TaYpEd By  TLASH25 Ankh Se Ankh Milata Hai Koi Dil Ko Kheenche Liye Jata Hai Koi. = Wa E Herat K Bhari Mehfil Mein Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi. = Chahiye Khud Pe Yaqeen E Kamil Hosla Kis Ka Barhata Hai Koi. = Sub Karishmat E Tassawur Hai Shakeel. = Marna Aata Hai Na Jata Hai Koi...! = Poet By Shakeel Badayuni = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Ishq Ki Kahani Tumhein Bhi Suna Dete Hain.

Ishq Ki Kahani TaYpEd By  TLASH25 Ishq Ki Kahani Tumhein Bhi Suna Dete Hain. = Hum Pe Jo Beeti Hai Tumhein Bhi Bata Dete Hain. = Ek Shakhs Ko Dil O Jaan Se Chaha Tha Hum Ne. = Bichar Gaya Par Usay Ab Bhi Dua Dete Hain. = Pata Nahin Wo Khush Hai Ab Bichar Ke Ya Nahin. = Us Ki Yaad Mein Kabhi Kabhar Ansoo Hum Bhi Baha Dete Hain. = Kabhi Koi Kaw'wa Aa Bethta Hai Mere Ghar Ki Chatt Par To. = Shayad Wo Aa Jayein Us Ki Rahguzar Bhi Saja Dete Hain. = Dastaan E Ghum Hum Sunayein Tum Mein Hai Hosla To Batao Ameer JEe. = Hum Beeti Dastan Gar Batayein To Jiger Walon Ko Bhi Rula Daite Hain...! = Poet By Ameer Ali Shah = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mujhe Bakhshi Khuda Ne Kon Roke Ga Zuban Meri

Mujhe Bakhshi TaYpEd By   TLASH25 Mujhe Bakhshi Khuda Ne Kon Roke Ga Zuban Meri. = Tumhein Har Haal Mein Sun'ni Pare Gi Dastan Meri. = Kabhi To Shahrah E Zindagi Thi Kah Kashan Meri. = Magar Ab Kaarwan Mera Na Gard E Kaarwan Meri. = Abhi Logon K Dil Mein Khar Ki Surat Khatakta Hon. = Abhi Tak Yad Hai Ihl E Chamman Ko Dastan Meri. = Mere Guzre Huwe Tewar Abhi Bhooli Nahi Dunya. = Abhi Bikhri Huwi Hain Har Taraf Parchhaaiyan Meri. = Meri Ankhon Mein Ansu Hain Na Honton Pe Tabasum Hai. = Samajh Mein Kia Kisi Ki Aaye Gi Tarz E Fugaan Meri. = Meri Fitrat Ko Kia Samjhein Ge Ye Khuwab E Gardan Wale. = Sawere K Sitare Ki Chamak Hai Razdan Meri. = Teri Rah E Talab Mein Zakham Sab Seene Pe Khaye Hain. = Bahar E Gulsitan Meri Hayat E Jaduan Meri...! = Poet By Shamsi Minai. = eND. = Follow Tlash25 Send To 8001

Mera Dil Totnay K Baad

Poet:- Sarfraz Ahmad. . Mera Dil Totnay K Baad Tera Saath Chotnay K Baad Tera Mujh Say Rothnay K Baad.* . Bas Tere Hijar Main Marna Baqi Hai.* . Tere Khat Jalanay K Baad Tujhe Dil Say Utaarnay K Baad Ik Umar Raigaan Gawanay K Baad.* . Bas Tere Hijar Main Marna Baqi Hai.* . Tera Mujhe Alwida Kahne K Baad Tanhai Akela Rahne K Baad Bewafai Ki Aaziyat Sahnay K Baad.* . Bas Tere Hijar Main Marna Baqi Hai.* . Muhabt K Adhoray Sapnay K Baad Ankhon Main Aanso Jachnay K Baad Tark E Tal'luq Pay Tarapnay K Baad.* . Bas Tere Hijar Main Marna Baqi Hai.* . Teri Talkh Baaton K Baad Tanha Guzri Raaton K Baad Chashm E Tar Main Barsaton K Baad.* . Bas Tere Hijar Main Marna Baqi Hai.* . Saqi Say Milne K Baad Aakhri Maa'y Peenay K Baad Chaak E "Jiger" Seenay K Baad.* . Bas Tere Hijar Main Marna Baqi Hai....'*SA*' . Typing Date 8.00 PM 16.02.2015

Dil Samjhay Hai Jannat Ka Badal Teri Jawani

Dil Samjhay Hai Jannat Ka Badal Teri Jawani...> - - Imaan Main Dalay Hai Khaalal Teri Jawani....> - - Hai Ek Haseen Nazam Agar Tera Sarapa....> - - Hai Ek Pharakti Si Ghazal Teri Jawani....> - - Aankhon K Dareechon Main Alif Laila Ka Manzar....> - - Bugdaad Ka Hai Koi Mahal Teri Jawani....> - - Aa Pyar K Panghat Pay Kisi Roz Naha Lay....> - - Khil Uthegi Manind E Kanwal Teri Jawani....'*SA*' - - Type By......-> .-._.-, '-._.SA-Ki-JaAan....-*

Rehne Lagi Wo Zulf E Garah Geer Samnay

Rehne Lagi Wo Zulf E Garah Geer Samnay.* . Har Waqt Ab To Hai Yahi Zanjeer Samne.* . Aaty Hai Khair Say Wo Nazar Kabhi Kabhi.* . Aane Lagi Hai Khawab Ki Tabeer Samne.* . Ho Jayega Mohasba Dushman Ka Khud Ba Khud.* . Aa Jayain Gay Faraib K Sab Teer Samne.* . Aay Dil Zara Sanbhl K Uthana Udhar Qadam.* . Wo Daikh Wo Hai Zulf Ki Zanjeer Samne.* . Mabni Munafiqat Pay Hai Yaaro Ka Ye Chalan.* . Tazleel Meri Bad Main Toqeer Samne.* . Tadbeer Say Badal Nahi Sakte Muqadraat.* . Hoga Wohi Jo Laye Gi Taqdeer Samne.* . Dewana To Bahaar Main Sehra Ko Chal Diya.* . Toti Pari Hoi Hai Wo Zanjeer Samne.* . Kya Likh Diya Maine K Tum Ho Gaye Khafa.* . Lao To Ik Zara Meri Tehreer Samne.* . Hans Kar "Naseer" Sy Bhi To Kuch Guftagu Karain.* . Baitha Hoa Hai Apka Dilgeer Samne....'*SA*' . Type By......-* .-._.-, '-._.Sarfraz Ahmad...-* . Poet:- Naseer O Deen Naseer Book Paimaan E Shab