Posts

Chal musafir battiyan jalne lagin  aasmani ghantiyan bajnay lagi  . Khil raha hai sham ka kala gulab  .  Zard sokhi pattiyan jharne lagin .  Surkh, dhaani, sabz, neeli, doodhiya .  Sham aai battiyan jalne lagin .  Din kay sare kapre dhilay hogaye .  Raat ki sab choliyan kasne lagin  . Jhilmilati kashtiyan chalne lagin  . Raat ki talaab kay aaina may jhilmilati   kashtiyan chalne lagin  . Doob jayenge sabhi darya pahaar  . Chandni ki naddiyan charhne lagin .  Band karlo dar dareechae khirkiyan  . Phr hawa may sitiyan bajnay lagin .  Zamano kay baagh par chaai ghata  . Oori oori larkiyan hansne lagin.....!  . Poet Bashir Badar .  Typed By  *__SA-k-Jan__*

Udasi ka yah patthar ansuon say nam nahi hota .

Udasi ka yah patthar ansuon say nam nahi hota .  Hazaron jugnuon say bhi andhaira kam nahi hota . Kabhi barsat may shadab belain sokh jati hai . Hare podon kay girne ka koi mosam nahi hota .  Bohat say log dil ko is tarha mahfoz rakhte hai . Koi barish hoya kaghaz zara bhi nam nahi hota .  Bicharte waqt koi badgumani dil may aa jati hai  .  Usay bhi gham nahi hota mujhay bhi gham nahi hota .  Ya ansoo hai inhain pholon may shabnam ki tarha rakhna .  Ghazal ahsas hai ahsas ka matam nahi hota....!  . Poet Bashir Badar .  Typed By  *__SA-k-Jan__*

Muqadas Ankh Mein Us Ki Yeh Kesa

Typed by TLASH25  Muqadas Ankh Mein Us Ki Yeh Kesa Pyar Dekha Tha Kabhi  Hum Ne B Apne Robaru Ek Chand Dekha Tha .  Huseen Sandal Say Hoontun K Khud-o-khan Aisy Thay.  Jaise Chandni Mein Khushbu Bikhar Jaye.  Woh Huntun Par Tabussum Ka Taj Rakhti Thi.  Kabhi Na Khulta Tha Jo Woh Raaz Rakhti Thi .  Udas Ki Ghari Mein Hum Jab Us K Saath Chaltay Thay.  Us K Sheereen Lehjay Mein Hazarun Phool Khiltay Thay . Wo Aisa Chand Tha Jis Ki Kabhi Pandra Nahin Dekhti. Muqaddas Aankh Mein Uski Yeh Kaisa Pyar Dekha Tha? Haseen Shah'kar Dekha Tha! Kabhi Hum Ne Apne Ru'Baru Ek Chand Dekha Tha...!

Mery Liye To Harf_e_Dua.

Image
Typed By *_RAINY_EYES_* Mery Liye To Harf_e_Dua Ho Gaya Wo Shakhs. Sary Dukhon Ki Jaisy Dawa Ho Gaya Wo Shakhs. Main Aasman Pay Tha To Zameen_e_Kashish Tha Wo. Utra Zameen Par To Hawa Ho Gaya Wo Shakhs. Sab Ashk Lay Gaya Mery Andar Ka Aadmi. Main Khushk Ho Gaya Hoon, Hara Ho Gaya Wo Shakhs. Sochon Bhi Ab Usay To Takhiyal Ke Par Jalain. Mujh Se Juda Huwa, Go Khuda Ho Gaya Wo Shakhs. Phirta Hai Lay Ke Aankh Ka Kashkol Dar Badar. Dil Ka Bharam Luta To Giraan Ho Gaya Wo Shakhs. Samjhi Wo Baat Bhi Jo Meri Soch Mein Na Thi. Mera Shanasa Mujh Se Sawa Ho Gaya Wo Shakhs. Youn Bhi Nahi Ke Paas Hai Mery Wo Humnafs. Ye Bhi Ghalat Ke Mujh Se Juda Ho Gaya Wo Shakhs. Parhta Tha Main Namaz Samajh Kar Usay "RASHEED" Phir Youn Huwa Ke Mujh Se Qazaa Ho Gaya Wo Shakhs. Poet Rasheed Qaisrani. For More Poetry Follow *_RAINY_EYES_* SEND 8001.

Ulajhna Acha Lagta Hai

Image
. TyPeD By *.__Sarfraz Ahmad__.* . Mujhe Us K Khayalo Say Ulajhna Acha Lagta Hai . Usi Ki Khatir Oojalo Say Ulajhna Acha Lagta Hai . Howa Shamil Jawabo May Hai Jab Say Hum Nasheen Mera . Mujhe Aksar Sawalo Say Ulajhna Acha Lagta Hai . Boht Hi Ghum Diay Mujh Ko Mere Ahbaab Nay Humdam . Ab Apna Kahne Walo Say Ulajhna Acha Lagta Hai . Jo Daikho To Ajab Tahreer Si Likhi Hai Chahro Par . Nagar May Rahne Walo Say Ulajhna Acha Lagta Hai . Na Jaane Q Hoa "Faisal" K Ab Har Baat Par Mujh Ko . Muhbato K Hawalo Say Ulajhna Acha Lagta Hai..........*SA* . END . Poet Faisal Nadeem Faisal . For More Best Gzl K Liay . Follow *._SA-ki-Jan_.* Send To 8001

Yahi Soch Ke Dil

Image
TaYpEd By TLASH25 Yahi Soch Ke Dil Ko Kahein Lagaya Bhi Nahin, Jo Jagay Pyaas To Usko Bhujaya Bhi Nahin. Ajab Khuwahish Hai Jo Mann Se Nikalti Hi Nahin Khud Ko Bhulta Hon Magar Usko Bhulata Bhi Nahin. Wo To Aashna Ho Ke Bhi Na Aashana Sa Roz Milta Hai Hijab Ki Deewar Girata Bhi Nahin. Khak Dhalay Ga Wo Khud Ko Pari Chehron Ko Sanchay Mein, Jo Kisi Pari Paikar Ke Naaz Uthata Bhi Nahin. Roz Kehta Hon Ke Wo Aaye To Milna Nahin Us Se, Jab Wo Aaye To Khud Ko Rok Paata Bhi Nahin. Mein Ne Kaha Toot Kar Bikhar Jaoge Athar Aaisa Nadaan Hai Ke Ashk Bahata Bhi Nahin....! Book Name Phir Se Mujhe Milo. Poet By Athar Shahbaz. eND. Follow Tlash25 Send To 8001

Uska Chor Jana

Image
TaYpEd By TLASH25 Usko Chor Jana Bhi Zaroori Tha, Hamara Usay Bhulana Bhi Zroori Tha. Us Se Raah Rasm To Nahin Thay Lekin, Wahan Aana Jana Bhi Zaroori Tha. Jab Lage Hai Zakham Humko To, Unko Sahe Jana Bhi Zaroori Tha. Kehne Ko To Ham Juda Juda Thay, Zamane Ko Dikhana Bhi Zaroori Tha. Dekh Kar Ham Ko Apni Mehfil Mein, Unka Nazrein Jhukana Bhi Zaroori Tha. Ye Nahin Ke Mujhe Gham Tha Us Ke Jane Ka Magar Aansu Bahana Bhi Zaroori Tha. Un Ke Mujh Par Ihsaan Thay Kya Unko Jatana Bhi Zaroori Tha. Wo Jab Bichra To Taalluq Ka Taqaza Tha, Alwida Kehne Ko Hath Hilana Bhi Zaroori Tha...! Book Name Phir Se Mujhe Milo. Poet By Athar Shahbaz. eND. Follow Tlash25 Send To 8001